darshan
furqat kā haal na kuchh pūchho
be-rang haiñ saare afsāne
sūkhī haiñ umīdoñ kī kaliyāñ
dil ke gulshan haiñ vīrāne
vīrāne gulshan kab hoñge
ab aap ke darshan kab hoñge
dil par ālām-o-masā.ib kī
ghanghor ghaTā.eñ chhā.ī haiñ
āñkheñ barsā kar ashk-e-ġham
be-rut kī barkhā laa.ī haiñ
haañ ḳhatm ye sāvan kab hoñge
ab aap ke darshan kab hoñge
yuuñ māyūsī ke sho.aloñ se
ummīd ke ġhunche murjhā.e
jis tarah ki Tiddī dal aa kar
khetoñ ko vīrāñ kar jaa.e
phir taaza ye ban kab hoñge
ab aap ke darshan kab hoñge
be-nūr fasurda āñkhoñ se
aisī ḳhasta-hālī hai ayaañ
jis tarah purāne vaqt ke hoñ
do ujḌe hue sunsān makāñ
ujḌe ghar raushan kab hoñge
ab aap ke darshan kab hoñge
is tarah 'salām' ab furqat meñ
vīrāñ hai taḳhayyul kī vaadī
jaise ho qaht ke aalam meñ
fāqoñ kī maarī ābādī
inkār muzayyan kab hoñge
ab aap ke darshan kab hoñge
furqat ka haal na kuchh puchho
be-rang hain sare afsane
sukhi hain umidon ki kaliyan
dil ke gulshan hain virane
virane gulshan kab honge
ab aap ke darshan kab honge
dil par aalam-o-masaib ki
ghanghor ghaTaen chhai hain
aankhen barsa kar ashk-e-gham
be-rut ki barkha lai hain
han KHatm ye sawan kab honge
ab aap ke darshan kab honge
yun mayusi ke shoalon se
ummid ke ghunche murjhae
jis tarah ki Tiddi dal aa kar
kheton ko viran kar jae
phir taza ye ban kab honge
ab aap ke darshan kab honge
be-nur fasurda aankhon se
aisi KHasta-haali hai ayan
jis tarah purane waqt ke hon
do ujDe hue sunsan makan
ujDe ghar raushan kab honge
ab aap ke darshan kab honge
is tarah 'salam' ab furqat mein
viran hai taKHayyul ki wadi
jaise ho qaht ke aalam mein
faqon ki mari aabaadi
inkar muzayyan kab honge
ab aap ke darshan kab honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.