Darte Darte dam-e-sahar se
chāñd begāna hai kaun is ko kahegā apnā
is ke hālāt judā is ke maqāmāt judā
nau-damīda kabhī kāmil kabhī nāpaid kabhī
bas yahī rañg-e-talavvun hai tashaḳhḳhus is kā
taare sargoshiyāñ karte rahe in kī tab-o-tāb
in se achchhī ki rasā.ī mire dil tak paa.ī
chāñd ne sochā mirā qissa bhī mujh se behtar
jo vahāñ chaltā rahā guuñj yahāñ tak aa.ī
varna āfāq kī ye kār-r-gah-e-shīsha-garī
is meñ Dhaltī haiñ ajab bhed bharī sīmā.eñ
qurb kī had se tajāvuz ho to darpesh-e-fanā
intihā duurī kī chhū leñ to bikhar hī jaa.eñ
tab zamīñ ubhrī miTā vāhima-e-tanhā.ī
jaag uThā hamhama anvā-e-kashish kā hama-gīr
jaag uThī ā.īna-e-rū-ba-rū karvaT letī
ūñche āfāq-shikan sail kī mastāna nafīr
ujlī iksīr sī miTTī vahīñ lau detī huī
jhūmte peḌoñ ke saa.e haiñ jahāñ naqsh-ārā
partv-e-māh na hotā to ye dīvān-e-basīt
is bayābāñ meñ na tartīb diyā jā saktā
naġhma-e-mauj bhī mauj is kā hai dariyā gahrā
lahja-e-'mīr' kī gīrā.ī kā jaadū jaagā
chāñdnī ho na kahīñ nālā-e-nai kī tajsīm
ab to pahchānñā mushkil hai kahāñ kaun hai kyā
chand begana hai kaun is ko kahega apna
is ke haalat juda is ke maqamat juda
nau-damida kabhi kaamil kabhi napaid kabhi
bas yahi rang-e-talawwun hai tashaKHKHus is ka
tare sargoshiyan karte rahe in ki tab-o-tab
in se achchhi ki rasai mere dil tak pai
chand ne socha mera qissa bhi mujh se behtar
jo wahan chalta raha gunj yahan tak aai
warna aafaq ki ye kar-r-gah-e-shisha-gari
is mein Dhalti hain ajab bhed bhari simaen
qurb ki had se tajawuz ho to darpesh-e-fana
intiha duri ki chhu len to bikhar hi jaen
tab zamin ubhri miTa wahima-e-tanhai
jag uTha hamhama anwa-e-kashish ka hama-gir
jag uThi aaina-e-ru-ba-ru karwaT leti
unche aafaq-shikan sail ki mastana nafir
ujli iksir si miTTi wahin lau deti hui
jhumte peDon ke sae hain jahan naqsh-ara
partw-e-mah na hota to ye diwan-e-basit
is bayaban mein na tartib diya ja sakta
naghma-e-mauj bhi mauj is ka hai dariya gahra
lahja-e-'mir' ki girai ka jadu jaga
chandni ho na kahin nala-e-nai ki tajsim
ab to pahchanna mushkil hai kahan kaun hai kya
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 134)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.