darwaza khula rakhna
kis qadar ḳhamoshī hai
kis qadar hai sannāTā
raat bhar kī bārish bhī
ab thakī thakī sī hai
āsmāñ pe rañgoñ kī
ek rahguzar sī hai
ab kisī ke aane meñ
kuchh hī der baaqī hai
kis qadar KHamoshi hai
kis qadar hai sannaTa
raat bhar ki barish bhi
ab thaki thaki si hai
aasman pe rangon ki
ek rahguzar si hai
ab kisi ke aane mein
kuchh hi der baqi hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 497)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.