maiñ ik darvāza huuñ
rasta havā kā nīm-shab qadmoñ kā
an-dekhī sadāoñ kā
mirī un se shanāsā.ī bahut mahdūd hai lekin
maiñ un kī āhaTeñ pahchāntā huuñ
maiñ un ko dastakoñ se jāntā huuñ
mire andar hai kyā bāhar hai kyā
mujh ko nahīñ ma.alūm lekin kuchh to hogā jis kī ḳhātir
koī mujh ko kholtā hai band kartā hai
maiñ aksar sochtā huuñ mere pīchhe bhī
koī ganj-e-girāñ-māya hai
koī be-bahā nādir ḳhazāna hai
jabhī to log mujh par qufl ke pahre biThāte haiñ
mujhe shab kī sadā se ḳhauf aatā hai
añdhere kī sadā-e-ḳhāmoshī se
hazāroñ duzd-pā auhām jis meñ raqs karte haiñ
aur aahaT tak nahīñ hotī
maiñ aise dast-e-āvāra se Dartā huuñ
jo be-elān aatā hai
achānak
ek dastak se
mire ḳhvāb-e-girāñ ko toḌ detā hai
magar sab se ziyāda ḳhauf mujh ko is se aatā hai
ki merā kholne vaalā
kisī din qufl kī kunjī ko kho baiThegā
aur mujh ko hamesha ke liye dīvār kar degā
main ek darwaza hun
rasta hawa ka nim-shab qadmon ka
an-dekhi sadaon ka
meri un se shanasai bahut mahdud hai lekin
main un ki aahaTen pahchanta hun
main un ko dastakon se jaanta hun
mere andar hai kya bahar hai kya
mujh ko nahin malum lekin kuchh to hoga jis ki KHatir
koi mujh ko kholta hai band karta hai
main aksar sochta hun mere pichhe bhi
koi ganj-e-giran-maya hai
koi be-baha nadir KHazana hai
jabhi to log mujh par qufl ke pahre biThate hain
mujhe shab ki sada se KHauf aata hai
andhere ki sada-e-KHamoshi se
hazaron duzd-pa auham jis mein raqs karte hain
aur aahaT tak nahin hoti
main aise dast-e-awara se Darta hun
jo be-elan aata hai
achanak
ek dastak se
mere KHwab-e-giran ko toD deta hai
magar sab se ziyaada KHauf mujh ko is se aata hai
ki mera kholne wala
kisi din qufl ki kunji ko kho baiThega
aur mujh ko hamesha ke liye diwar kar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.