darwazon ki KHud-kushi
darvāze kyā hote haiñ
kyā darvāze bāhar jaane ke liye haiñ
yā sirf andar aane ke liye
darvāzoñ kā durust masraf samajhne se
falsafī qāsir rahe
ham tamām umr
in kī haqīqat se nā-āshnā rahe
hameñ ma.alūm na ho sakā
aur darvāze hamāre andar se ḳhārij ho ga.e
yā shāyad
apne hī andar dāḳhil ho ga.e
dāḳhil aur ḳhārij hone kī bahs jaarī thī
ki darvāzoñ ko davām baḳhshā jā sake
lekin darvāzoñ kī ḳhud-kushī se
mudā.vmat kī maut vaaq.e ho ga.ī
darwaze kya hote hain
kya darwaze bahar jaane ke liye hain
ya sirf andar aane ke liye
darwazon ka durust masraf samajhne se
falsafi qasir rahe
hum tamam umr
in ki haqiqat se na-ashna rahe
hamein malum na ho saka
aur darwaze hamare andar se KHarij ho gae
ya shayad
apne hi andar daKHil ho gae
daKHil aur KHarij hone ki bahs jari thi
ki darwazon ko dawam baKHsha ja sake
lekin darwazon ki KHud-kushi se
mudawmat ki maut waqe ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.