darwesh
maiñ ek būḌhe bargad kā daraḳht huuñ
jis kī shāḳheñ kaT chukī haiñ aur patte
bikhar chuke haiñ mere siine meñ ek ḳhalā hai
jis meñ ek din ek būḌhe bandar ne
panāh lī thī
nahīñ ai būḌhe bargad
tum us gumbad vaalī imārat se
behtar ho jis meñ ek zālim bādshāh kī qabr hai
nahīñ tum nahīñ jānte us gumbad ke pīchhe
jhoñpaḌiyoñ meñ kuchh diye jal rahe the
jin havāoñ ne ye diye bujhā.e haiñ
maiñ un havāoñ se ab bhī
laḌ rahā huuñ
main ek buDhe bargad ka daraKHt hun
jis ki shaKHen kaT chuki hain aur patte
bikhar chuke hain mere sine mein ek KHala hai
jis mein ek din ek buDhe bandar ne
panah li thi
nahin ai buDhe bargad
tum us gumbad wali imarat se
behtar ho jis mein ek zalim baadshah ki qabr hai
nahin tum nahin jaante us gumbad ke pichhe
jhonpaDiyon mein kuchh diye jal rahe the
jin hawaon ne ye diye bujhae hain
main un hawaon se ab bhi
laD raha hun
- Book : chahaar khvaab (Pg. 150)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.