Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daryaft

Fatima Mehru

daryaft

Fatima Mehru

MORE BYFatima Mehru

    kyā tum vo udāsī duur kar sakte ho

    jo saare aa.ine toḌ dene ke baad

    dīvāroñ meñ ghus jaatī hai

    kyā tum vo dhuāñ bāhar nikāl sakte ho

    jo saarī tasāvīr jalāne ke baad

    halaq meñ bhar jaatā hai

    kyā tum us gul-dān ko joḌ sakte ho

    jo kisī jaane vaale ne haath se girā diyā ho

    kyā tum vo āvāzeñ vāpas sakte ho

    jo kisī moḌ ke āġhāz par ġhā.eb ho jaatī haiñ

    kyā tum koī aisī chiiz

    ījād kar sakte ho

    jis se maiñ daryāft kar jā.ūñ

    kya tum wo udasi dur kar sakte ho

    jo sare aaine toD dene ke baad

    diwaron mein ghus jati hai

    kya tum wo dhuan bahar nikal sakte ho

    jo sari tasawir jalane ke baad

    halaq mein bhar jata hai

    kya tum us gul-dan ko joD sakte ho

    jo kisi jaane wale ne hath se gira diya ho

    kya tum wo aawazen wapas la sakte ho

    jo kisi moD ke aaghaz par ghaeb ho jati hain

    kya tum koi aisi chiz

    ijad kar sakte ho

    jis se main daryaft kar li jaun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now