dasht-e-ajnabiyat mein
dasht-e-ajnabiyat meñ
āshnā.ī kī chhāñv
saath chhoḌ jaa.e to
har taraf bagūloñ kā
raqs gher letā hai
dasht-e-ajnabiyat meñ
āshnā.ī kī chhāñv
saath chhoḌ jaa.e to
yaas gher letī hai
aas ke jazīre ko
aur is jazīre ko
kab kisī ne dekhā hai
dasht-e-ajnabiyat meñ
āshnā.ī kī chhāñv
saath chhoḌ jaa.e to
bādaloñ ke saa.e bhī
sargirāñ se rahte haiñ
zindagī ke chehre se
rañg ruuTh jaate haiñ
rañg ruuTh jaanā to
maut kī alāmat hai
dasht-e-ajnabiyat meñ
aas ke jazīroñ par
jab kabhī utarnā tum
āshnā.ī kī chhāñv
saath chhoḌ jaa.e to
aas ke jazīroñ ko
yaas meñ samo lenā
aur dil ke dāman ko
āñsuoñ se dho lenā
dasht-e-ajnabiyat mein
aashnai ki chhanw
sath chhoD jae to
har taraf bagulon ka
raqs gher leta hai
dasht-e-ajnabiyat mein
aashnai ki chhanw
sath chhoD jae to
yas gher leti hai
aas ke jazire ko
aur is jazire ko
kab kisi ne dekha hai
dasht-e-ajnabiyat mein
aashnai ki chhanw
sath chhoD jae to
baadalon ke sae bhi
sargiran se rahte hain
zindagi ke chehre se
rang ruTh jate hain
rang ruTh jaana to
maut ki alamat hai
dasht-e-ajnabiyat mein
aas ke jaziron par
jab kabhi utarna tum
aashnai ki chhanw
sath chhoD jae to
aas ke jaziron ko
yas mein samo lena
aur dil ke daman ko
aansuon se dho lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.