dasht-e-taKHayyul ki nafi
mujhe dasht-e-taḳhayyul kā safar karnā agar aatā
tavāf-e-ka.aba kartā, zindagī ko samt mil jaatī
sahīfe dil ke sab bikhre hue mere sañvar jaate
ġham-o-ālām mere bhii,
ġhubār-e-rāh ban jaate
mujhe dasht-e-taḳhayyul kā safar karnā agar aatā
tazādāt ab jo paidā haiñ, vo paidā hī nahīñ hote
kahīñ kunj-e-sukūñ misl-e-madīna mujh ko mil jaatā
mujhe dasht-e-taḳhayyul kā safar karnā agar aatā
jinheñ dasht-e-taḳhayyul kā safar karnā bhī aatā hai
havā ke dosh par uḌte haiñ misl-e-gard-e-āvāra
gidhoñ kā jhunD ki mañDlā rahā ho jaise murdoñ par
mujhe dasht-e-taḳhayyul kā safar karnā nahīñ aatā
nahīñ aatā to achchhā hai, nahīñ aa.e to achchhā hai
mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna agar aata
tawaf-e-kaba karta, zindagi ko samt mil jati
sahife dil ke sab bikhre hue mere sanwar jate
gham-o-alam mere bhi,
ghubar-e-rah ban jate
mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna agar aata
tazadat ab jo paida hain, wo paida hi nahin hote
kahin kunj-e-sukun misl-e-madina mujh ko mil jata
mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna agar aata
jinhen dasht-e-taKHayyul ka safar karna bhi aata hai
hawa ke dosh par uDte hain misl-e-gard-e-awara
gidhon ka jhunD ki manDla raha ho jaise murdon par
mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna nahin aata
nahin aata to achchha hai, nahin aae to achchha hai
- Book : maazii ka aainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.