dasht-e-tamanna
tishnagī
tishnagī aur tishnagī
jaane kab tak
tishnagī sar phoḌtī dasht-e-tamannā meñ rahī
raah meñ yuuñ to kabhī aaya sarāb
vāhime kā
nazariye kā
falsafe kā
aur kabhī
rahguzār-e-shauq meñ
karbalā bhī aa gayā
thī jahāñ jaarī furāt-e-zindagī
tishnagī ke lab magar
ek ik qatre ko bhī tarsā kiye
ho ke phir tasvīr-e-yās
tishnagī ne noch Daale apne baal
apne chehre ko bhī zaḳhmī kar liyā
aaj lekin
ḳhud furāt-e-zīst ne
rakh diyā hai apnā sar
tishnagī ke paañv par
mahkī mahkī sī havā hai
rūh-parvar hai samāñ
khil rahe haiñ
phuul lab par
baj rahī haiñ
chār-sū shahnā.iyāñ
tishnagi
tishnagi aur tishnagi
jaane kab tak
tishnagi sar phoDti dasht-e-tamanna mein rahi
rah mein yun to kabhi aaya sarab
wahime ka
nazariye ka
falsafe ka
aur kabhi
rahguzar-e-shauq mein
karbala bhi aa gaya
thi jahan jari furaat-e-zindagi
tishnagi ke lab magar
ek ek qatre ko bhi tarsa kiye
ho ke phir taswir-e-yas
tishnagi ne noch Dale apne baal
apne chehre ko bhi zaKHmi kar liya
aaj lekin
KHud furaat-e-zist ne
rakh diya hai apna sar
tishnagi ke panw par
mahki mahki si hawa hai
ruh-parwar hai saman
khil rahe hain
phul lab par
baj rahi hain
chaar-su shahnaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.