dasht-e-umr
paar karnā hai mujh ko dasht-e-umr
merī manzil-e-adam hai us ke paar
aage kitnā tavīl rasta hai
aur kitnā kaThin nahīñ ma.alūm
shauq-e-manzil mujhe na zauq-e-safar
ham-safar hai na hai koī rahbar
aur har gaam par sarāb koī
hai mirī tishnagī baḌhāne ko
chal rahā huuñ meñ be-dilī ke saath
ye safar mujh pe hai garāñ lekin
maiñ use tark kar nahīñ saktā
maiñ to pal-bhar Thahar nahīñ saktā
ye muqaddar hai yā ki majbūrī
chalte rahnā hai mujh ko har sūrat
par karna hai mujh ko dasht-e-umr
meri manzil-e-adam hai us ke par
aage kitna tawil rasta hai
aur kitna kaThin nahin malum
shauq-e-manzil mujhe na zauq-e-safar
ham-safar hai na hai koi rahbar
aur har gam par sarab koi
hai meri tishnagi baDhane ko
chal raha hun mein be-dili ke sath
ye safar mujh pe hai garan lekin
main use tark kar nahin sakta
main to pal-bhar Thahar nahin sakta
ye muqaddar hai ya ki majburi
chalte rahna hai mujh ko har surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.