dasht-e-wafa
dost kahte haiñ tire dasht-e-vafā meñ kaise
itnī ḳhushbū hai mahaktā ho gulistāñ jaise
go baḌī chiiz hai ġhamḳhavāri-e-arbāb-e-vafā
kitne be-gāna-e-ā.īn-e-vafā haiñ ye log
zaḳhm-dar-zaḳhm mohabbat ke chaman-zār meñ bhī
faqat ik ġhuncha-e-mantiq ke gadā haiñ ye log
maiñ unheñ gulshan-e-ehsās dikhā.ūñ kaise
jin kī parvāz-e-basīrat par-e-bulbul tak hai
vo na dekheñge kabhī had-e-nazar se aage
aur mirī hadd-e-nazar hadd-e-taḳhayyul tak hai
dil ke bhedoñ ko bhī mantiq meñ jo uljhāte haiñ
yuuñ samajh leñ ki babūloñ meñ bhī phuul aate haiñ
dost kahte hain tere dasht-e-wafa mein kaise
itni KHushbu hai mahakta ho gulistan jaise
go baDi chiz hai ghamKHawari-e-arbab-e-wafa
kitne be-gana-e-ain-e-wafa hain ye log
zaKHm-dar-zaKHm mohabbat ke chaman-zar mein bhi
faqat ek ghuncha-e-mantiq ke gada hain ye log
main unhen gulshan-e-ehsas dikhaun kaise
jin ki parwaz-e-basirat par-e-bulbul tak hai
wo na dekhenge kabhi had-e-nazar se aage
aur meri hadd-e-nazar hadd-e-taKHayyul tak hai
dil ke bhedon ko bhi mantiq mein jo uljhate hain
yun samajh len ki babulon mein bhi phul aate hain
- Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 252)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.