dasht hi kafi hai
saañs lene ke liye
qasr-o-kāshāna zarūrī to nahīñ
koī vīrāna koī dasht hī kaafī hai
jahāñ
āsmāñ aur zamīñ roz gale milte haiñ
sub.h-dam bād-e-sabā
shāḳh-dar-shāḳh luTātī hai namī
ḳhushbū phailātī hai āñchal apnā
khilkhilātī huī doshīza kalī ke ruḳhsār
shoḳh bhañvre kī nigāhoñ se shafaq hote haiñ
maḳhmalīñ paañv tale
sabza-e-bālīda koī
chhamchhamātī huī bārish meñ nahā jaatā hai
shaam
darmāñda parindoñ kī panah-gāhoñ meñ
qumqume kirmak-e-shab-tāb ke raushan kar ke
shab kī āġhosh meñ so jaatī hai
an-ginat hīroñ kī nannhī kaniyāñ
jagmagā uThtī haiñ tāroñ ke hasīñ māthoñ par
chāñd duudh kaTorā le kar
būḌhī naanī kī kahānī meñ samā jaatī hai
koī āvāz na saaz
koī naġhma na alaap
na koī bahas na tamhīs na takrār koī
na siyāsat na ḳhabāsat na shamātat koī
iḳhtilāfāt se duur
saare mafādāt se duur
sab ḳhurāfāt se duur
chhal kapaT jhuuT na dhokā na fareb
koī uljhan koī fitna na koī jhuñjhlāhaT
koī shikva na gila
fikr-e-fardā na hī andesha-e-imroz koī
ek anjān masarrat kī kiran
an-chhue ḳhvāboñ kī ThanDī bauchhār
ajnabī sī kisī ḳhvāhish kā ḳhumār
kisī be-nām se ehsās kā lams
arsa-e-jāñ meñ utar jaatā hai
zinda rahne kā amal
kitnā jāñ-baḳhsh nazar aatā hai
saañs lene ke liye
qasr-o-kāshāna zarūrī to nahīñ
koī vīrāna
koī dasht hī kaafī hai
magar
dasht
vo dasht
jise dekh ke ghar yaad na aa.e
sans lene ke liye
qasr-o-kashana zaruri to nahin
koi virana koi dasht hi kafi hai
jahan
aasman aur zamin roz gale milte hain
subh-dam baad-e-saba
shaKH-dar-shaKH luTati hai nami
KHushbu phailati hai aanchal apna
khilkhilati hui doshiza kali ke ruKHsar
shoKH bhanwre ki nigahon se shafaq hote hain
maKHmalin panw tale
sabza-e-baalida koi
chhamchhamati hui barish mein naha jata hai
sham
darmanda parindon ki panah-gahon mein
qumqume kirmak-e-shab-tab ke raushan kar ke
shab ki aaghosh mein so jati hai
an-ginat hiron ki nannhi kaniyan
jagmaga uThti hain taron ke hasin mathon par
chand dudh kaTora le kar
buDhi nani ki kahani mein sama jati hai
koi aawaz na saz
koi naghma na alap
na koi bahas na tamhis na takrar koi
na siyasat na KHabasat na shamatat koi
iKHtilafat se dur
sare mafadat se dur
sab KHurafat se dur
chhal kapaT jhuT na dhoka na fareb
koi uljhan koi fitna na koi jhunjhlahaT
koi shikwa na gila
fikr-e-farda na hi andesha-e-imroz koi
ek anjaan masarrat ki kiran
an-chhue KHwabon ki ThanDi bauchhaar
ajnabi si kisi KHwahish ka KHumar
kisi be-nam se ehsas ka lams
arsa-e-jaan mein utar jata hai
zinda rahne ka amal
kitna jaan-baKHsh nazar aata hai
sans lene ke liye
qasr-o-kashana zaruri to nahin
koi virana
koi dasht hi kafi hai
magar
dasht
wo dasht
jise dekh ke ghar yaad na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.