dast-e-saqi se phir ek jam gira
gul-o-tabassum-e-rangīñ kā ab gila na karo
bahut udaas chaman se nasīm guzrī hai
na jaane kaun sī vaadī se ho ke aa.ī thī
qabā-e-gul se ulajhtī do-nīm guzrī hai
ġhazab huā bharī mahfil meñ dast-e-sāqī se
mai-e-shabāna se labrez jaam chhūT gayā
udaas udaas hai sher-o-adab kā mai-ḳhāna
ki aaj sāġhar-e-rangīñ ik aur TuuT gayā
bharī bahār ke din the ki uTh gayā koī
nigāh-e-shauq meñ sau hasrateñ chhupā.e hue
guzar gayā koī chupke se muskurātā huā
ḳhud apne kāñdhoñ pe lāsh-e-vafā uThā.e hue
uThā kiye haiñ yūñhī mai-kade se dīvāne
ham apne dil pe yūñhī daaġh sahte aa.e haiñ
ise nazākat-e-sāġhar kaho ki tundi-e-mai
shikast-e-jām ko ham maut kahte aa.e haiñ
kahāñ vo daur ki saaqī kī bazm-e-rangīñ meñ
urūs-e-zohd ko baḳhshī ga.ī qabā-e-sharāb
kahāñ ye daur ki mahfil meñ jām-e-rangīñ se
chhalak rahā hai lahū hī lahū bajā.e sharāb
gul-o-tabassum-e-rangin ka ab gila na karo
bahut udas chaman se nasim guzri hai
na jaane kaun si wadi se ho ke aai thi
qaba-e-gul se ulajhti do-nim guzri hai
ghazab hua bhari mahfil mein dast-e-saqi se
mai-e-shabana se labrez jam chhuT gaya
udas udas hai sher-o-adab ka mai-KHana
ki aaj saghar-e-rangin ek aur TuT gaya
bhari bahaar ke din the ki uTh gaya koi
nigah-e-shauq mein sau hasraten chhupae hue
guzar gaya koi chupke se muskuraata hua
KHud apne kandhon pe lash-e-wafa uThae hue
uTha kiye hain yunhi mai-kade se diwane
hum apne dil pe yunhi dagh sahte aae hain
ise nazakat-e-saghar kaho ki tundi-e-mai
shikast-e-jam ko hum maut kahte aae hain
kahan wo daur ki saqi ki bazm-e-rangin mein
urus-e-zohd ko baKHshi gai qaba-e-sharab
kahan ye daur ki mahfil mein jam-e-rangin se
chhalak raha hai lahu hi lahu bajae sharab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.