dast-e-tah-e-sang
sharq se ġharb tak
arsh se farsh tak
yā karāñ tā karāñ
ek sannāTā phailā huā
merī bekal jabīñ ke tilismāt se
terī bechain bāñhoñ ke ilhām tak
tishna hoñToñ se halchal bhare jaam tak
un kī āñkhoñ ke raushan diyoñ se
mirī arġhavānī ghanī shaam tak
yā karāñ tā karāñ
ek sannāTā phailā huā
kahkashāñ bujh ga.ī rāste meñ kahīñ
rañg-e-nūr-e-sahar luT gayā
āsmānoñ meñ uljhā huā
mai-kadā nuur kā
dil-barān-e-haram
thak ke gumnām rastoñ meñ gum ho ga.e
rañg-e-mahtāb kumhlā gayā
mah-ruḳhāñ
chashm-e-āhū sifat
mast madmātī shāmoñ meñ
hasrat kī dahlīz par
aah bharte rahe
aur sabā raat bhar
zard mahtāb kī aañch meñ
ḳhaak bar-sar bhaTaktī rahī
yā karāñ tā karāñ
ek sannāTā phailā huā
halqā-e-āshiqāñ se lab-e-bām tak
dast-e-sāqī se durd-e-tah-e-jām tak
dīd-e-bīnā se bismil ke anjām tak
mābadoñ kī ḳhamoshī se hañgāma-e-majma.a-e-ām tak
shahr-e-afsos kī tīra-o-tār galiyoñ se
raushan damaktī huī shāra-e-ām tak
yaañ karāñ tā karāñ
ek sannāTā phailā huā
rabb-e-ma.abūd gum āsmānoñ meñ hai
guñg-o-ḳhāmosh hai
bādshāh-e-jahāñ vālī-e-mā-sivā nā.eb-allāh-fil-arz
kaun-o-makāñ
ishq kā mājrā
husn kā mājrā
dard kā mājrā
yā ḳhudā
yā ḳhudā
kuchh sabīl-e-jaza
dil dhaḌakne ko koī bahāna
ḳhudā
sharq se gharb tak
arsh se farsh tak
ya karan ta karan
ek sannaTa phaila hua
meri bekal jabin ke tilismat se
teri bechain banhon ke ilham tak
tishna honTon se halchal bhare jam tak
un ki aankhon ke raushan diyon se
meri arghawani ghani sham tak
ya karan ta karan
ek sannaTa phaila hua
kahkashan bujh gai raste mein kahin
rang-e-nur-e-sahar luT gaya
aasmanon mein uljha hua
mai-kada nur ka
dil-baran-e-haram
thak ke gumnam raston mein gum ho gae
rang-e-mahtab kumhla gaya
mah-ruKHan
chashm-e-ahu sifat
mast madmati shamon mein
hasrat ki dahliz par
aah bharte rahe
aur saba raat bhar
zard mahtab ki aanch mein
KHak bar-sar bhaTakti rahi
ya karan ta karan
ek sannaTa phaila hua
halqa-e-ashiqan se lab-e-baam tak
dast-e-saqi se durd-e-tah-e-jam tak
did-e-bina se bismil ke anjam tak
mabadon ki KHamoshi se hangama-e-majma-e-am tak
shahr-e-afsos ki tira-o-tar galiyon se
raushan damakti hui shaara-e-am tak
yan karan ta karan
ek sannaTa phaila hua
rabb-e-mabud gum aasmanon mein hai
gung-o-KHamosh hai
baadshah-e-jahan wali-e-ma-siwa naeb-allah-fil-arz
kaun-o-makan
ishq ka majra
husn ka majra
dard ka majra
ya KHuda
ya KHuda
kuchh sabil-e-jaza
dil dhaDakne ko koi bahana
KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.