dastak
har taraf kyuuñ hai dhuāñ
ḳhema-e-jāñ meñ larazte haiñ diye ḳhvāhish ke
aur kisī lau ko sarakne kī ijāzat bhī nahīñ
kisī ummīd kā dar khultā nahīñ
kisī qirtās pe khulte nahīñ raushan lahje
kyā ujāloñ ke sahīfoñ ko masīhā ne jilā Daalā hai
kyuuñ daraḳhtoñ ne parindoñ ke tarānoñ meñ udāsī phūñkī
aao ik ahd kareñ
koī tābūt banā.eñge añdheroñ ke liye
ab na.e saal ke dāman meñ hameñ
surḳh lafzoñ ko nahīñ bonā hai
sabz lamhoñ ko nahīñ kāTnā hai
har taraf kyun hai dhuan
KHema-e-jaan mein larazte hain diye KHwahish ke
aur kisi lau ko sarakne ki ijazat bhi nahin
kisi ummid ka dar khulta nahin
kisi qirtas pe khulte nahin raushan lahje
kya ujalon ke sahifon ko masiha ne jila Dala hai
kyun daraKHton ne parindon ke taranon mein udasi phunki
aao ek ahd karen
koi tabut banaenge andheron ke liye
ab nae sal ke daman mein hamein
surKH lafzon ko nahin bona hai
sabz lamhon ko nahin kaTna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.