dastak
phuul qurbat se pahle
maiñ
faqat ḳhushbuoñ ke badan
chūmtā thā
lams lams
tū
mujh meñ zam
ho rahā thā
phuul
qurbat ke baad
maiñ
badan ke ḳhārzāroñ ko bhī
TaTolne lagā huuñ
kuchh kuchh
jab
rāstoñ par naqsh-e-pā
sab dhuñdle paḌ jaate haiñ
tab
be-dar-o-dīvār qafas meñ
tilmilā uThtā huuñ maiñ
apne bistar par badal kar
karvaToñ par karvaTeñ
sochtā huuñ
kisī karvaT niiñd sī
aa jā.egī
daf.atan
palañg kī karkarāhaT
chauñkā detī hai mujhe
lagtā hai
sargoshī meñ koī
terā naam sā letā hai
phir
ajnabī ehsās se
ḳhuun sā
ubaltā hai badan meñ
aur
surḳhiyāñ
simaT aatī haiñ
shikan-dar-shikan
phul qurbat se pahle
main
faqat KHushbuon ke badan
chumta tha
lams lams
tu
mujh mein zam
ho raha tha
phul
qurbat ke baad
main
badan ke KHarzaron ko bhi
TaTolne laga hun
kuchh kuchh
jab
raston par naqsh-e-pa
sab dhundle paD jate hain
tab
be-dar-o-diwar qafas mein
tilmila uThta hun main
apne bistar par badal kar
karwaTon par karwaTen
sochta hun
kisi karwaT nind si
aa jaegi
dafatan
palang ki karkarahaT
chaunka deti hai mujhe
lagta hai
sargoshi mein koi
tera nam sa leta hai
phir
ajnabi ehsas se
KHun sa
ubalta hai badan mein
aur
surKHiyan
simaT aati hain
shikan-dar-shikan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.