daulat
aur phir aise huā ānand jab hāzir huā to
budh pahle se hī us ke muntazir the
shahr se tum jis ko apne saath le aa.e ho bhikshū
us ko vāpas bhej do tum jānte ho
bhikshuoñ kā āshram
ye sangh to bas bhikshuoñ ke vāste hai
pīr-o-murshid
aane vaalā koḌh se bīmār hai lekin use ye
zid samā.ī hai ki vo bhikshū banegā
jāntā hai
sangh un sab ke suvāgat meñ khulā hai
jo use apnī panāh-e-āḳhirī mahsūs kar ke
us meñ aanā chāhte haiñ
jab koī dhanvān ye dar khaTkhaTā.e
aur aakar ye kahe vo sangh kā ik rukn banñā chāhtā hai
ham use manzūr kar lete haiñ bhikshū
haañ tathāgat ham faqat ye chāhte haiñ
aane vaalā
bol ham kyā chāhte haiñ
pīr-o-murshid bas faqat ik baat yā'nī
apnī daulat daan kar aa.e tabhī ham
dūsre lafzoñ meñ bhikshū
jo bhī us ke paas hai yā'nī zar-o-sīm o javāhar
biivī bachche ghar zamīñ sab Dhor Dangar
aur apne tan ke kapḌe
saath mat laa.e vahīñ par chhoḌ aa.e to use ham
sangh meñ shāmil kareñge
haañ tathāgat
shahr se jo saath aaya hai tumhāre
us ko kyā kuchh chhoḌnā hai
kuchh nahīñ bhagvān us ke paas to kuchh bhī nahīñ hai
koḌh to hai us kī daulat
jo use pichhle janm se ab virāsat meñ milī hai
pūchh kar dekho agar vo
apnī ye daulat bhī pīchhe chhoḌ aa.e
sangh us ko rukniyat baḳhshegā bhikshū
aur phir aise hua aanand jab hazir hua to
budh pahle se hi us ke muntazir the
shahr se tum jis ko apne sath le aae ho bhikshu
us ko wapas bhej do tum jaante ho
bhikshuon ka aashram
ye sangh to bas bhikshuon ke waste hai
pir-o-murshid
aane wala koDh se bimar hai lekin use ye
zid samai hai ki wo bhikshu banega
jaanta hai
sangh un sab ke suwagat mein khula hai
jo use apni panah-e-aKHiri mahsus kar ke
us mein aana chahte hain
jab koi dhanwan ye dar khaTkhaTae
aur aakar ye kahe wo sangh ka ek rukn banna chahta hai
hum use manzur kar lete hain bhikshu
han tathagat hum faqat ye chahte hain
aane wala
bol hum kya chahte hain
pir-o-murshid bas faqat ek baat ya'ni
apni daulat dan kar aae tabhi hum
dusre lafzon mein bhikshu
jo bhi us ke pas hai ya'ni zar-o-sim o jawahar
biwi bachche ghar zamin sab Dhor Dangar
aur apne tan ke kapDe
sath mat lae wahin par chhoD aae to use hum
sangh mein shamil karenge
han tathagat
shahr se jo sath aaya hai tumhaare
us ko kya kuchh chhoDna hai
kuchh nahin bhagwan us ke pas to kuchh bhi nahin hai
koDh to hai us ki daulat
jo use pichhle janm se ab wirasat mein mili hai
puchh kar dekho agar wo
apni ye daulat bhi pichhe chhoD aae
sangh us ko rukniyat baKHshega bhikshu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.