dawam
maiñ tumhāre faisle kā hāsil huuñ
tum mujh se be-vaj.h ulajhte ho
maiñ ne jo tumheñ kāmyābiyāñ diiñ
ḳhushiyāñ atā kiiñ
use kyuuñ nahīñ shumār karte
tumhārī harkatoñ se dar aane vaalī
zindagī bhar kī nākāmiyāñ
talḳhiyoñ kī sūrat
jab tumhāre rag-o-pai meñ
paivast ho chukī haiñ
to
tum mujh se ulajh rahe ho
tum ye samajhte ho
ki maiñ koī āzād parinda huuñ
jo jab chāhā jahāñ chāhā
sub.h-o-shām kar liyā
nahīñ
maiñ ek zimmedār mausam kī tarah
apnī uñgliyoñ meñ
huā ke Dor
lipTā kar
dāman-e-āsmāñ par naqsh-o-nigār
banā detā huuñ
main tumhaare faisle ka hasil hun
tum mujh se be-wajh ulajhte ho
main ne jo tumhein kaamyabiyan din
KHushiyan ata kin
use kyun nahin shumar karte
tumhaari harkaton se dar aane wali
zindagi bhar ki nakaamiyan
talKHiyon ki surat
jab tumhaare rag-o-pai mein
paiwast ho chuki hain
to
tum mujh se ulajh rahe ho
tum ye samajhte ho
ki main koi aazad parinda hun
jo jab chaha jahan chaha
subh-o-sham kar liya
nahin
main ek zimmedar mausam ki tarah
apni ungliyon mein
hua ke Dor
lipTa kar
daman-e-asman par naqsh-o-nigar
bana deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.