dawam
mujhe aaj mahsūs yuuñ ho rahā hai
ki maiñ mar gayā huuñ
mirā naam kuchh bhī ho maiñ aam sā aadmī
is se kuchh farq paḌtā nahīñ
ek ehsās ke muḳhtalif naam haiñ
saarī duniyā meñ jo shaḳhs duniyā se uTThā hai vo maiñ huuñ
maiñ jis ne dekhā hai har shaḳhs meñ ḳhud ko marte hue
mujh ko jis tarah chāho pukāro ki vo marne vaalā to maiñ hī huuñ
logo shahādat se baḌh kar mirī maut be-laus hai
aur kisī kā mire paas kuchh bhī nahīñ
jab bhī aayā huuñ tum sab meñ tum ban ke zinda rahā
aur duniyā se jaate hue saath sirf apnā ġham le gayā
ġham jo duniyā meñ ''maiñ'' ban ke phir aa.egā
mujhe aaj mahsus yun ho raha hai
ki main mar gaya hun
mera nam kuchh bhi ho main aam sa aadmi
is se kuchh farq paDta nahin
ek ehsas ke muKHtalif nam hain
sari duniya mein jo shaKHs duniya se uTTha hai wo main hun
main jis ne dekha hai har shaKHs mein KHud ko marte hue
mujh ko jis tarah chaho pukaro ki wo marne wala to main hi hun
logo shahadat se baDh kar meri maut be-laus hai
aur kisi ka mere pas kuchh bhi nahin
jab bhi aaya hun tum sab mein tum ban ke zinda raha
aur duniya se jate hue sath sirf apna gham le gaya
gham jo duniya mein main ban ke phir aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.