dayar-e-watan
ye hai merā vatan tumhārā vatan
jān-o-dil se hameñ hai pyārā vatan
har amal se ayaañ ho hubb-e-vatan
ye hai merā vatan tumhārā vatan
jaan de kar sañvārnā hai ise
zabt-e-ġham se nikhārnā hai ise
bhūlnā tum nahīñ baḌoñ kā chalan
ye hai merā vatan tumhārā vatan
har ḳhushī ko nisār karnā hai
har jagah gul-bahār karnā hai
sab ke dil meñ sajā.e rakhnā lagan
ye hai merā vatan tumhārā vatan
behtarī kā sabab hai sab ke liye
rahbarī kā sabab hai sab ke liye
ye hai baaqī to dil haiñ sab ke magan
ye hai merā vatan tumhārā vatan
tere aslāf kī nishānī hai
is se vābasta zindagānī hai
chāñd taare ko lag na jaa.e gahan
ye hai merā vatan tumhārā vatan
yahī pahchān hai musalmāñ kī
izzat-e-nafs hai musalmāñ kī
hai diloñ kā sahārā saarā chaman
ye hai merā vatan tumhārā vatan
ḳhūn-e-dil se jalā.e ham ne charāġh
bebasī ke milā diye sab daaġh
raah dushvār marhale the kaThin
ye hai merā vatan tumhārā vatan
paak ho jazba-e-nihāñ apnā
ye hai apnā to hai jahāñ apnā
is kī peshānī par na aa.e shikan
ye hai merā vatan tumhārā vatan
Dar na jaanā kahīñ zamāne se
ḳhauf khānā nahīñ zamāne se
raah meñ aa.eñ chāhe ranj-o-mehan
ye hai merā vatan tumhārā vatan
is kī har baat har adā is kī
gūñjtī jā.egī sadā is kī
yaad rakhnā sadā hamārā suḳhan
ye hai merā vatan tumhārā vatan
ye hai mera watan tumhaara watan
jaan-o-dil se hamein hai pyara watan
har amal se ayan ho hubb-e-watan
ye hai mera watan tumhaara watan
jaan de kar sanwarna hai ise
zabt-e-gham se nikhaarna hai ise
bhulna tum nahin baDon ka chalan
ye hai mera watan tumhaara watan
har KHushi ko nisar karna hai
har jagah gul-bahaar karna hai
sab ke dil mein sajae rakhna lagan
ye hai mera watan tumhaara watan
behtari ka sabab hai sab ke liye
rahbari ka sabab hai sab ke liye
ye hai baqi to dil hain sab ke magan
ye hai mera watan tumhaara watan
tere aslaf ki nishani hai
is se wabasta zindagani hai
chand tare ko lag na jae gahan
ye hai mera watan tumhaara watan
yahi pahchan hai musalman ki
izzat-e-nafs hai musalman ki
hai dilon ka sahaara sara chaman
ye hai mera watan tumhaara watan
KHun-e-dil se jalae hum ne charagh
bebasi ke mila diye sab dagh
rah dushwar marhale the kaThin
ye hai mera watan tumhaara watan
pak ho jazba-e-nihan apna
ye hai apna to hai jahan apna
is ki peshani par na aae shikan
ye hai mera watan tumhaara watan
Dar na jaana kahin zamane se
KHauf khana nahin zamane se
rah mein aaen chahe ranj-o-mehan
ye hai mera watan tumhaara watan
is ki har baat har ada is ki
gunjti jaegi sada is ki
yaad rakhna sada hamara suKHan
ye hai mera watan tumhaara watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.