guzar rahe hain guzarne wale
larazne vaale laraz rahe haiñ
larazte jhoñke
guzarte bal khāte reñgte sarsarāte jhoñke
nisā.ī malbūs kī tarah sarsarāne vaale
kaḌakne vaalī kī chābukoñ se
agarche daur-e-ravāñ ke aañsū Tapak rahe haiñ
magar nazar jis taraf bhī uThtī hai dekhtī hai
guzar rahe haiñ guzarne vaale
ye kaun dubkā huā is āvāra rāste meñ khaḌā huā hai
ki jaise sābun kā koī rañgīn bulbula ho
zamīñ ke bachpan meñ jo bhī shai thī vo nā-shanāsā-e-arzū thī
shabāb aayā to reñgne vaalī reñg uThī
aur aaj ye haal hai ki har shai ye chāhtī hai
ki ek tūfān ban ke girā.e rāstoñ meñ
ye kaun dubkā huā us āvāra rāste meñ khaḌā huā hai
ki jis tarah bahte bahte āvāz ruk ke ye sochne lagī ho
ki jū-e-sahrā bahegī kab tak
ye zindagī ek jū-e-sahrā hai bah rahī hai
larazne vaale laraz rahe haiñ
magar nazar jis taraf bhī uThtī hai dekhtī hai
guzar rahe haiñ guzarne vaale
larazne wale laraz rahe hain
larazte jhonke
guzarte bal khate rengte sarsaraate jhonke
nisai malbus ki tarah sarsarane wale
kaDakne wali ki chabukon se
agarche daur-e-rawan ke aansu Tapak rahe hain
magar nazar jis taraf bhi uThti hai dekhti hai
guzar rahe hain guzarne wale
ye kaun dubka hua is aawara raste mein khaDa hua hai
ki jaise sabun ka koi rangin bulbula ho
zamin ke bachpan mein jo bhi shai thi wo na-shanasa-e-arzu thi
shabab aaya to rengne wali reng uThi
aur aaj ye haal hai ki har shai ye chahti hai
ki ek tufan ban ke girae raston mein
ye kaun dubka hua us aawara raste mein khaDa hua hai
ki jis tarah bahte bahte aawaz ruk ke ye sochne lagi ho
ki ju-e-sahra bahegi kab tak
ye zindagi ek ju-e-sahra hai bah rahi hai
larazne wale laraz rahe hain
magar nazar jis taraf bhi uThti hai dekhti hai
guzar rahe hain guzarne wale
- Book : Muntakhab Nazmen (Pg. 39)
- Author : idarah adab lateef
- Publication : Maktaba Urdu lahore (1945)
- Edition : 1945
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.