december aa gaya hai
yahāñ gorīch chaltī hai
to jaise ruuh chhiltī hai
zamistāñ aa ke ruktā hai
to ik ik rome dikhtā hai
ta.ajjub hai mujhe pal pal
ki ab ke saal vaadī meñ
hamārī shaal vaadī meñ
sunahrī dhuup ab tak parbatoñ par raqs kartī hai
abhī tak saañs kī hiddat laboñ ko garm rakhtī hai
ragoñ meñ ḳhuun kā daurān ab tak hai dopahroñ sā
ḳhizāñ ke zard chehre par sharārat ab bhī baaqī hai
abhī pattoñ ne apne atlasī jaame nahīñ badle
sisaktī aur Dartī shāmeñ ab tak muskurātī haiñ
kyuuñ ab tak titliyāñ phūloñ pe aa ki khilkhilātī haiñ
abhī nīlāhaTeñ bādal ke dhoke meñ nahīñ aa.iiñ
abhī tak naddiyāñ kohre ke qabze meñ nahīñ aa.iiñ
guzishta sab mahīnoñ ko
yahāñ saare makīnoñ ko
ajab ye fikr lāhiq hai
ye apne sard lahje meñ abhī tak kyuuñ nahīñ bolā
ye us be-dard lahje meñ abhī tak kyuuñ nahīñ bolā
december aa gayā hai kyā
yahan gorich chalti hai
to jaise ruh chhilti hai
zamistan aa ke rukta hai
to ek ek rome dikhta hai
tajjub hai mujhe pal pal
ki ab ke sal wadi mein
hamari shaal wadi mein
sunahri dhup ab tak parbaton par raqs karti hai
abhi tak sans ki hiddat labon ko garm rakhti hai
ragon mein KHun ka dauran ab tak hai dopahron sa
KHizan ke zard chehre par shararat ab bhi baqi hai
abhi patton ne apne atlasi jame nahin badle
sisakti aur Darti shamen ab tak muskuraati hain
kyun ab tak titliyan phulon pe aa ki khilkhilati hain
abhi nilahaTen baadal ke dhoke mein nahin aain
abhi tak naddiyan kohre ke qabze mein nahin aain
guzishta sab mahinon ko
yahan sare makinon ko
ajab ye fikr lahiq hai
ye apne sard lahje mein abhi tak kyun nahin bola
ye us be-dard lahje mein abhi tak kyun nahin bola
december aa gaya hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.