december kī havā ke sañg
kuchh anjān sī yādeñ
bahut vīrān sī yādeñ
mire dil se guzar kar
chāñd kī barfīlī sīḌhī par
achānak baiTh kar
sargoshiyoñ meñ raat kartī haiñ
magar vo jaate jaate
mere zehn-o-dil ko
pighlā detī haiñ aksar
december ki hawa ke sang
kuchh anjaan si yaaden
bahut viran si yaaden
mere dil se guzar kar
chand ki barfili siDhi par
achanak baiTh kar
sargoshiyon mein raat karti hain
magar wo jate jate
mere zehn-o-dil ko
pighla deti hain aksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.