december ja raha hai
december jā rahā hai
sabz shāḳhoñ se
shagūfe chhīn kar
sochoñ pe chhā.ī kohr sī hai
be-sabātī kā ye aalam hai
har ik sahmā huā hai
jaane kis ghaḌī kyā hādisa ho jaa.e
sab par ḳhauf taarī hai
guzarte is baras ne
dukh diye haiñ
chain chhīnā hai
hameñ lekin
abhī jiinā hai
is ummīd par
badleñge ye hālāt
agle saal
hogī zindagī kī baat
december ja raha hai
sabz shaKHon se
shagufe chhin kar
sochon pe chhai kohr si hai
be-sabaati ka ye aalam hai
har ek sahma hua hai
jaane kis ghaDi kya hadisa ho jae
sab par KHauf tari hai
guzarte is baras ne
dukh diye hain
chain chhina hai
hamein lekin
abhi jina hai
is ummid par
badlenge ye haalat
agle sal
hogi zindagi ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.