dehat
uf vo jamunā ke qarīñ dehāt kā dilkash samāñ
ūñchī-nīchī sī vo dīvāreñ vo kuchh TuuTe makāñ
rashk ho firdaus ko naqsha hai vo dehāt kā
sabz kaahī kī bahār aur vo samāñ barsāt kā
āsmāñ kartā hai shab-bhar gauhar-e-anjum nisār
phuul kartī hai nichhāvar har sahar bād-e-bahār
vo ravish khetoñ kī jis par taḳhta-e-jannat nisār
kyāriyāñ vo dilrubā ho jalva-e-fitrat nisār
shahr kī ThanDī havā se naḳhl thā har ik nihāñ
thī ḳhas-o-ḳhāshāk paanī par ki ā.īne pe baal
sabz dhānoñ kā vo tā-hadd-e-nazar ik silsila
vo ghane paude nazar ko thī na til rakhne kī jā
thī banafsha sat.h par paanī kī yuuñ aa.ī huī
zulf ho jis tarah ā.īne pe lahrā.ī huī
uf vo sannāTā vo ḳhāmoshī fazā kī muttasil
khaḌkhaḌāyā jab koī pattā dhaḌak uThtā thā dil
lahlahā uTTheñ shajar vo shaam kī ThanDī havā
chhūT vo mahtāb kī baḌh jaa.e paanī khet kā
uḌ rahe haiñ is tarah mauj-e-havā ke saath meñ
jaan goyā paḌ ga.ī hai ḳhaak ke zarrāt meñ
Dūbtā sūraj vo chaḌhtī dhuup vo dilkash samāñ
surḳhī-e-mashriq se vo uThtā huā shab kā dhuāñ
bel har-sū ishq-e-pechāñ kī vo lahrā.ī huī
āsmāñ kī tarah chakkar meñ zamīñ aa.ī huī
uf wo jamuna ke qarin dehat ka dilkash saman
unchi-nichi si wo diwaren wo kuchh TuTe makan
rashk ho firdaus ko naqsha hai wo dehat ka
sabz kahi ki bahaar aur wo saman barsat ka
aasman karta hai shab-bhar gauhar-e-anjum nisar
phul karti hai nichhawar har sahar baad-e-bahaar
wo rawish kheton ki jis par taKHta-e-jannat nisar
kyariyan wo dilruba ho jalwa-e-fitrat nisar
shahr ki ThanDi hawa se naKHl tha har ek nihan
thi KHas-o-KHashak pani par ki aaine pe baal
sabz dhanon ka wo ta-hadd-e-nazar ek silsila
wo ghane paude nazar ko thi na til rakhne ki ja
thi banafsha sath par pani ki yun aai hui
zulf ho jis tarah aaine pe lahrai hui
uf wo sannaTa wo KHamoshi faza ki muttasil
khaDkhaDaya jab koi patta dhaDak uThta tha dil
lahlaha uTThen shajar wo sham ki ThanDi hawa
chhuT wo mahtab ki baDh jae pani khet ka
uD rahe hain is tarah mauj-e-hawa ke sath mein
jaan goya paD gai hai KHak ke zarraat mein
Dubta suraj wo chaDhti dhup wo dilkash saman
surKHi-e-mashriq se wo uThta hua shab ka dhuan
bel har-su ishq-e-pechan ki wo lahrai hui
aasman ki tarah chakkar mein zamin aai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.