dehli ki saDken
Interesting Fact
New Delhi was also one of the US military headquarters during the war. American soldiers, wet in riches roamed roamed the streets of Delhi. These people were very generous in paying rent to the Tanga-waalaas. Indian customers were not usually seated by these Tanga-waalaas, and if an Indian ever sat, they would charge three to four times the fare. Due to lack of petrol, the motor was beyond the reach of the common man. Walking on the long streets of Delhi was a task.
zulf-e-ḳhūbāñ kī tarah dehlī kī saḌkeñ haiñ darāz
aur Tāñga hāñkne vāloñ pe zāhir hai ye raaz
motroñ se kaise ho saktā hai merā sāz-bāz
kaash ki petrol bhī hotā sharāb-e-ḳhāna-sāz
pī ke is sahbā ko hotīñ motareñ mast-e-ḳhirām
maiñ to huuñ mard-e-musalmāñ mujh pe piinā hai harām
aur akelā huuñ bhī to paidal chalā jā.ūñgā maiñ
lailā-e-mahmil-nashīñ ko kaise samjhā.ūñgā maiñ
najd kā naaqa kahāñ se DhūñD kar lā.ūñgā maiñ
pāñch chhe bachchoñ ko āḳhir kaise bahlāūñgā maiñ
ek ho to god maiñ le luuñ ki vo bhārī nahīñ
maiñ magar insān huuñ ai dosto laarī nahīñ
Tāñge vaale haiñ samand-e-nāz ke upar savār
ābla-pā.ī ye kahtī hai ki ab chalnā hai baar
dekhte haiñ mere jūtoñ ke taloñ ko jab chamār
''kyūñ huī jaatī haiñ ''yā-rab vo nigāheñ dil ke pār''
chhoḌ kar jūtoñ ko chal saktā nahīñ, huuñ nañge paañv
mary ye hālat hai bacha jis tarah pahne khaḌā.ūñ
aa ga.e dehlī meñ jab se aadmī pātāl ke
ho ga.e maġhrūr mālik har ḳhar-e-dajjal ke
chalte chalte ho ga.e ḳham paañv bāñke laal ke
ham bhī ujrat meñ Take dete to haiñ Tiksāl ke
ham se lekin mil nahīñ sakte unheñ āñdhī ke ber
lūTte haiñ ajnabī ko jo dikhā kar her-pher
zulf-e-KHuban ki tarah dehli ki saDken hain daraaz
aur Tanga hankne walon pe zahir hai ye raaz
motron se kaise ho sakta hai mera saz-baz
kash ki petrol bhi hota sharab-e-KHana-saz
pi ke is sahba ko hotin motaren mast-e-KHiram
main to hun mard-e-musalman mujh pe pina hai haram
aur akela hun bhi to paidal chala jaunga main
laila-e-mahmil-nashin ko kaise samjhaunga main
najd ka naqa kahan se DhunD kar launga main
panch chhe bachchon ko aaKHir kaise bahlaunga main
ek ho to god main le lun ki wo bhaari nahin
main magar insan hun ai dosto lari nahin
Tange wale hain samand-e-naz ke upar sawar
aabla-pai ye kahti hai ki ab chalna hai bar
dekhte hain mere juton ke talon ko jab chamar
kyun hui jati hain ya-rab wo nigahen dil ke par
chhoD kar juton ko chal sakta nahin, hun nange panw
mary ye haalat hai bacha jis tarah pahne khaDaun
aa gae dehli mein jab se aadmi patal ke
ho gae maghrur malik har KHar-e-dajjal ke
chalte chalte ho gae KHam panw banke lal ke
hum bhi ujrat mein Take dete to hain Tiksal ke
hum se lekin mil nahin sakte unhen aandhi ke ber
luTte hain ajnabi ko jo dikha kar her-pher
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 56)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.