dehli ki sair
aao bachcho sair karā.eñ
bhārat kā dil tum ko dikhā.eñ
bhārat kā dil kyā hai bolo
duniyā dekho āñkheñ kholo
har lab par hai jis kā fasāna
dehlī hai vo shahr purānā
shahar ki jis meñ 'mīr' ne gaa.e
rañj-o-ḳhushī ke dilkash naġhme
shahr ki jis meñ 'ġhālib' ne bhī
chheḌīñ shīrīñ ġhazleñ apnī
shahr ki jis meñ shaah 'zafar' ne
ġhazleñ likkhīñ likkhe nauhe
dehlī jo hai shahr purānā
bachcho vo hai dil bhārat kā
vo sambhlā to ham bhī sambhle
vo bigḌā to ham bhī bigḌe
shahr nahīñ tahzīb hai dehlī
shān-e-vatan hai is se baaqī
aao is kā ruup dikhā.eñ
bachcho tum ko sair karā.eñ
laal qil.a hai sāmne dekho
muġhaloñ kī tārīḳh ko samjho
maazī kī tasvīr hai is meñ
ḳhvāboñ kī ta.abīr hai is meñ
vaqt kā ik ā.īna samjho
shām-o-sahar kā ruup bhī dekho
akbar kī talvār yahāñ hai
nūr-jahāñ kā haar yahāñ hai
ālamgīr kī masjid dekho
fan kā namūna us ko jaano
duniyā meñ ik jannat hai ye
apne vatan kī daulat hai ye
laal qil.e se bāhar aao
masjid hai ik sāmne dekho
hai ye nishānī shāh-jahāñ kī
dil kā sukūñ daulat hai yahāñ kī
aao chaleñ ab birlā mandir
bastī dekheñ prem kī jā kar
ye hai dekho jantar-mantar
dekh ke is ko aql hai shashdar
chāho tum to vaqt batā.e
grahan kā bhī ruup dikhā.e
sadr kā aivāñ hai ye dekho
ek gulistāñ hai ye dekho
bāġh-e-muġhal hai is ke andar
apnā guzar hai is se bāhar
ye hai samādhī gāñdhī jī kī
duur nahīñ hai shāñtī-van bhī
rūh-e-chaman ḳhāmosh yahāñ hai
ḳhāk-e-vatan gul-posh yahāñ hai
bachcho chaleñ ab mehraulī bhī
dekh aa.eñ ham laaT qutub kī
us ke chāroñ aur khañDar haiñ
pahle vaqtoñ ke ye nagar haiñ
ambar is se apnī zamīñ hai
ham ko bhī kam faḳhr nahīñ hai
maanā dehlī dekh lī tum ne
sair bhī kar lī kaafī tum ne
mil lo khilaune se bhī chal kar
sāmne hai vo us kā daftar
bhaa.ī jo ilyās haiñ apne
kar lo tum sab darshan un ke
yuuñ to chīzeñ aur haiñ lekin
dekhnā un kā kab hai mumkin
bachcho tum to thak bhī ga.e ho
vaqt bhī kam hai ab ghar lauTo
aao bachcho sair karaen
bhaarat ka dil tum ko dikhaen
bhaarat ka dil kya hai bolo
duniya dekho aankhen kholo
har lab par hai jis ka fasana
dehli hai wo shahr purana
shahar ki jis mein 'mir' ne gae
ranj-o-KHushi ke dilkash naghme
shahr ki jis mein 'ghaalib' ne bhi
chheDin shirin ghazlen apni
shahr ki jis mein shah 'zafar' ne
ghazlen likkhin likkhe nauhe
dehli jo hai shahr purana
bachcho wo hai dil bhaarat ka
wo sambhla to hum bhi sambhle
wo bigDa to hum bhi bigDe
shahr nahin tahzib hai dehli
shan-e-watan hai is se baqi
aao is ka rup dikhaen
bachcho tum ko sair karaen
lal qila hai samne dekho
mughalon ki tariKH ko samjho
mazi ki taswir hai is mein
KHwabon ki tabir hai is mein
waqt ka ek aaina samjho
sham-o-sahar ka rup bhi dekho
akbar ki talwar yahan hai
nur-jahan ka haar yahan hai
aalamgir ki masjid dekho
fan ka namuna us ko jaano
duniya mein ek jannat hai ye
apne watan ki daulat hai ye
lal qile se bahar aao
masjid hai ek samne dekho
hai ye nishani shah-jahan ki
dil ka sukun daulat hai yahan ki
aao chalen ab birla mandir
basti dekhen prem ki ja kar
ye hai dekho jantar-mantar
dekh ke is ko aql hai shashdar
chaho tum to waqt batae
grahan ka bhi rup dikhae
sadr ka aiwan hai ye dekho
ek gulistan hai ye dekho
bagh-e-mughal hai is ke andar
apna guzar hai is se bahar
ye hai samadhi gandhi ji ki
dur nahin hai shanti-wan bhi
ruh-e-chaman KHamosh yahan hai
KHak-e-watan gul-posh yahan hai
bachcho chalen ab mehrauli bhi
dekh aaen hum laT qutub ki
us ke chaaron aur khanDar hain
pahle waqton ke ye nagar hain
ambar is se apni zamin hai
hum ko bhi kam faKHr nahin hai
mana dehli dekh li tum ne
sair bhi kar li kafi tum ne
mil lo khilaune se bhi chal kar
samne hai wo us ka daftar
bhai jo ilyas hain apne
kar lo tum sab darshan un ke
yun to chizen aur hain lekin
dekhna un ka kab hai mumkin
bachcho tum to thak bhi gae ho
waqt bhi kam hai ab ghar lauTo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.