dehli wa lucknow
ho ga.e vīrān dehlī-o-dayār-e-lakhna.ū
ab kahāñ vo lutf-e-dehlī-e-bahār-o-lakhna.ū
bāġh-e-dehlī to huā yuuñ yak-qalam-barbād aur
mil gayā sab ḳhaak meñ naqsh-o-nigār-e-lakhna.ū
ahl-e-jauhar to milā.e ḳhaak meñ dehlī ke vaañ
rah ga.e yuuñ be-sar-o-pā vazadār-e-lakhna.ū
jo the dehlī meñ amā.id vo kiye yaksar ḳharāb
aur tabah saare kiye sāhab vaqār-e-lakhna.ū
thā ḳhas-o-ḳhāshāk-e-dehlī ġhairat-e-sad-lāla-zār
rashk-e-sad-gulzār thā ek ek ḳhār-e-lakhna.ū
so falak ne yuuñ kiyā dehlī ko to pāmāl-e-jaur
aur kiyā vaqf-e-jafā har-barg-o-bār-e-lakhna.ū
rashk-e-sad-ḳhurshīd thā har-zarra-e-dehlī sunā
mārtā chashmak safā par thā ġhubār-e-lakhna.ū
ġham meñ dehlī ke guloñ ke to garebāñ chaak haiñ
aur sausan hai chaman meñ sogvār-e-lakhna.ū
TukḌe hotā hai jigar dehlī ke sadme sun ke 'aish'
aur dil phahTtā hai sun kar hāl-e-zār-e-lakhna.ū
ho gae viran dehli-o-dayar-e-lakhnau
ab kahan wo lutf-e-dehli-e-bahaar-o-lakhnau
bagh-e-dehli to hua yun yak-qalam-barbaad aur
mil gaya sab KHak mein naqsh-o-nigar-e-lakhnau
ahl-e-jauhar to milae KHak mein dehli ke wan
rah gae yun be-sar-o-pa wazadar-e-lakhnau
jo the dehli mein amaid wo kiye yaksar KHarab
aur tabah sare kiye sahab waqar-e-lakhnau
tha KHas-o-KHashak-e-dehli ghairat-e-sad-lala-zar
rashk-e-sad-gulzar tha ek ek KHar-e-lakhnau
so falak ne yun kiya dehli ko to pamal-e-jaur
aur kiya waqf-e-jafa har-barg-o-bar-e-lakhnau
rashk-e-sad-KHurshid tha har-zarra-e-dehli suna
marta chashmak safa par tha ghubar-e-lakhnau
gham mein dehli ke gulon ke to gareban chaak hain
aur sausan hai chaman mein sogwar-e-lakhnau
TukDe hota hai jigar dehli ke sadme sun ke 'aish'
aur dil phahTta hai sun kar haal-e-zar-e-lakhnau
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.