dekh lo ge KHud!
darḳhto? muntazir ho!
pāniyoñ meñ jhāñkte kyā ho?
khaḌe ho sākit-o-jāmid
ḳhud apne aks kī hairāniyoñ meñ gum
tako ik dūsre kā muñh
raho yuuñ īstāda
pāniyoñ ko kyā
yūñhīñ bahte raheñge
aks jo jhalkegā
sat.h-e-āb bas ā.īna ban kar jagmagā.egī
havā jo mauj meñ aa.ī
to bas lahroñ se khelegī
tumhāre Dagmagāte aks ko
koī sambhālā tak nahīñ degā!
tumhāre apne patte tāliyāñ pīTeñge
san-san sansanāhaT se havā kī
kāñptī shāḳheñ
kareñgī kyā
kanār-e-ābjū mah-rū
takā kartā thā ghanToñ mahviyat se
ishtiyāq-e-dīd kā aalam
har ik patte kī āñkhoñ meñ
tumhārā dilrubā mah-rū
vo ab lauTe bhalā kaise
darḳhto bhuul saktī hai kahāñ
vo shakl
jis ko dekh kar paanī kī āñkheñ
is tarah se jagmagātī thiiñ
ki us ko dekhne
qaus-e-quzah ke rañg
hañste khilkhilāte
aa gale lagte the lahroñ se!
ka.ī ik baar tum ne bhī
usī kī chaah meñ
jhuk kar
havā-e-tez meñ bhī
be-ḳhatar
chūmī thī peshānī isī paanī kī
jo mil kar havāoñ se
jaḌoñ meñ bhar rahā hai nam!
use kis baat kā hai ġham
giroge muñh ke bal to
qahqaha paanī kā sun lenā!
tumheñ apnī tahoñ meñ yuuñ chhupā.egā
ḳhabar tak bhī nahīñ hogī kisī ko
tum yahāñ par the
bahā le jā.egā
anjān se un sāhiloñ tak
aur
vahāñ un sāhiloñ par
ḳhas-o-ḳhāshāk meñ Dhal kar
tumhārī muntazir āñkheñ salāmat rah ga.iiñ to
dekh loge ḳhud
vahī mah-rū
palaT kar jo kabhī aayā nahīñ thaa!
darKHto? muntazir ho!
paniyon mein jhankte kya ho?
khaDe ho sakit-o-jamid
KHud apne aks ki hairaniyon mein gum
tako ek dusre ka munh
raho yun istada
paniyon ko kya
yunhin bahte rahenge
aks jo jhalkega
sath-e-ab bas aaina ban kar jagmagaegi
hawa jo mauj mein aai
to bas lahron se khelegi
tumhaare Dagmagate aks ko
koi sambhaala tak nahin dega!
tumhaare apne patte taliyan piTenge
san-san sansanahaT se hawa ki
kanpti shaKHen
karengi kya
kanar-e-abju mah-ru
taka karta tha ghanTon mahwiyat se
ishtiyaq-e-did ka aalam
har ek patte ki aankhon mein
tumhaara dilruba mah-ru
wo ab lauTe bhala kaise
darKHto bhul sakti hai kahan
wo shakl
jis ko dekh kar pani ki aankhen
is tarah se jagmagati thin
ki us ko dekhne
qaus-e-quzah ke rang
hanste khilkhilate
aa gale lagte the lahron se!
kai ek bar tum ne bhi
usi ki chah mein
jhuk kar
hawa-e-tez mein bhi
be-KHatar
chumi thi peshani isi pani ki
jo mil kar hawaon se
jaDon mein bhar raha hai nam!
use kis baat ka hai gham
giroge munh ke bal to
qahqaha pani ka sun lena!
tumhein apni tahon mein yun chhupaega
KHabar tak bhi nahin hogi kisi ko
tum yahan par the
baha le jaega
anjaan se un sahilon tak
aur
wahan un sahilon par
KHas-o-KHashak mein Dhal kar
tumhaari muntazir aankhen salamat rah gain to
dekh loge KHud
wahi mah-ru
palaT kar jo kabhi aaya nahin tha!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.