dekho main kis shan se aai
sūraj ne jab saath nibhāyā
sardī ko phir maiñ ne bhagāyā
garm havāoñ kā hai mahīna
har māthe par aa.e pasīnā
aamoñ ke maiñ tohfe laa.ī
dekho maiñ kis shaan se aa.ī
koī piye tarbūz kā sharbat
kisī ko ḳharbūze se raġhbat
aaḌū dekh ke jī lalchā.e
sab ne mil kar maze uḌaa.e
jāmun aur ḳhūbānī khaa.ī
dekho maiñ kis shaan se aa.ī
mehnat-kash mazdūr bichāre
sab hī mere vaar se haare
lekin merā ye kahnā hai
har mausam kā ek mazā hai
maiñ bhī to huuñ ik sachchā.ī
dekho maiñ kis shaan se aa.ī
bijlī bhī merī ham-jolī
khel rahī hai āñkh-micholī
maiñ ne aise tiir chalā.e
bachche būḌhe sab ghabrā.e
sab ne dī hai merī duhā.ī
dekho maiñ kis shaan se aa.ī
suraj ne jab sath nibhaya
sardi ko phir main ne bhagaya
garm hawaon ka hai mahina
har mathe par aae pasina
aamon ke main tohfe lai
dekho main kis shan se aai
koi piye tarbuz ka sharbat
kisi ko KHarbuze se raghbat
aaDu dekh ke ji lalchae
sab ne mil kar maze uDae
jamun aur KHubani khai
dekho main kis shan se aai
mehnat-kash mazdur bichaare
sab hi mere war se haare
lekin mera ye kahna hai
har mausam ka ek maza hai
main bhi to hun ek sachchai
dekho main kis shan se aai
bijli bhi meri ham-joli
khel rahi hai aankh-micholi
main ne aise tir chalae
bachche buDhe sab ghabrae
sab ne di hai meri duhai
dekho main kis shan se aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.