dekhte dekhte
chyūñTiyāñ kitnī roñdī ga.iiñ
āḳhirī saañs tak
palaT kar jhapaTne kī ummīd meñ
sar uThātī rahīñ
kitnā be-mudda.ā hausla
dekhte dekhte miT gayā
reñgtī chyūñTiyāñ
jild ko chiir kar
ḳhuun meñ mil ga.iiñ
mere a.asāb meñ
bijliyāñ ghul ga.iiñ
ab maiñ koī aur huuñ
ek ghāyal darinda
zaḳhm hī zaḳhm haiñ
chāhe apne huuñ yā dūsroñ ke
zaḳhm hī zaḳhm haiñ
mujh pe ab koī hañstā nahīñ
saarī bastī hai sahmī huī
log sab falsafe
bāñdh kar bhaag uThe
maiñ akelā baḌī der tak
ḳhud pe hañstā rahā
aa.ine se ye kahtā rahā
yā to har dard ke koī ma.anī haiñ
yā phir kisī dard ke koī ma.anī nahīñ
chyunTiyan kitni rondi gain
aaKHiri sans tak
palaT kar jhapaTne ki ummid mein
sar uThati rahin
kitna be-muddaa hausla
dekhte dekhte miT gaya
rengti chyunTiyan
jild ko chir kar
KHun mein mil gain
mere aasab mein
bijliyan ghul gain
ab main koi aur hun
ek ghayal darinda
zaKHm hi zaKHm hain
chahe apne hun ya dusron ke
zaKHm hi zaKHm hain
mujh pe ab koi hansta nahin
sari basti hai sahmi hui
log sab falsafe
bandh kar bhag uThe
main akela baDi der tak
KHud pe hansta raha
aaine se ye kahta raha
ya to har dard ke koi mani hain
ya phir kisi dard ke koi mani nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.