agle vaqtoñ ke ik qissa-go pīr-e-kohna ne phir
dasht-e-be-mājrā se guzarte hue
narm-rau mehrbāñ ḳhizr-qāmat mashīnī farishte se
yuuñ 'arz kī
ai mashīñ-zād
ab merī pīrāna-sālī ke mausam meñ
un dāstānoñ kī chādar darīda huī
vo jinheñ maiñ ne apnī javānī ke
rangīñ taḳhayyul kī khaDDī pe bun kar
kisī nīlmīñ aañkh meñ
nazar ke vāste rakh diyā
yak-ba-yak mere chāroñ taraf
vaqt kī gard aisī uḌī
tāq-e-nisyān par
zard hotī huī
har hikāyat dharī kī dharī rah ga.ī
al-ġharaz
bhuul jaane kā ik 'āriza
jo mirī jīniyātī virāsat meñ likkhā gayā
misl-e-dast-e-'adū
ab mujhe zer karne ko hai
ai mashīñ-zād
muddat huī
dasht-e-be-mājrā kī ḳhamoshī meñ
kahne ko kuchh bhī nahīñ
bas yahī 'arz hai
is ḳhatā-kār ko
haft-iqlīm ke
bā-hunar ḳhush-zabāñ
jīniyātī rafūgar se jaldī milā de
ki maiñ apnī bosīda yādoñ kī chādar marammat karā.ūñ
aur apne qadīmī mahalle ke
ik nīm-tārīk se qahva-ḳhāne meñ
phir agle vaqtoñ ke qisse sunā.ūñ
agle waqton ke ek qissa-go pir-e-kohna ne phir
dasht-e-be-majra se guzarte hue
narm-rau mehrban KHizr-qamat mashini farishte se
yun 'arz ki
ai mashin-zad
ab meri pirana-sali ke mausam mein
un dastanon ki chadar darida hui
wo jinhen main ne apni jawani ke
rangin taKHayyul ki khaDDi pe bun kar
kisi nilmin aankh mein
nazar ke waste rakh diya
yak-ba-yak mere chaaron taraf
waqt ki gard aisi uDi
taq-e-nisyan par
zard hoti hui
har hikayat dhari ki dhari rah gai
al-gharaz
bhul jaane ka ek 'ariza
jo meri jiniyati wirasat mein likkha gaya
misl-e-dast-e-'adu
ab mujhe zer karne ko hai
ai mashin-zad
muddat hui
dasht-e-be-majra ki KHamoshi mein
kahne ko kuchh bhi nahin
bas yahi 'arz hai
is KHata-kar ko
haft-iqlim ke
ba-hunar KHush-zaban
jiniyati rafugar se jaldi mila de
ki main apni bosida yaadon ki chadar marammat karaun
aur apne qadimi mahalle ke
ek nim-tarik se qahwa-KHane mein
phir agle waqton ke qisse sunaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.