der-sawer to waise bhi ho jati hai
Interesting Fact
(31st October, 2008)
chāñdnī-rātoñ ke rasiyā
us raat bhī us kī rāheñ
dekh rahe the
mad-hoshī meñ naach rahe the
vaqt kī maddham hotī lau se
ThanDe hote jismoñ ko ab
señk rahe the
chāñd us raat bhī kaafī der se niklā thā
pichhlī kuchh rātoñ se aksar
chāñd ko der ho jaatī thī
chāñd kā rasta takte takte
chāñd se chehre vaalī bachchī
rote rote so jaatī thī
chāñd ko bhī ehsās thā us kā
der-saver to vaise bhī ho jaatī hai
koī sabab to hotā hogā
lekin apnī dhun meñ raqsāñ
logoñ ne kab sochā hogā
aur kisī ne is baare meñ sochā hogā
to us ne is pāgal-pan par
hañs kar
kaak uḌāyā hogā
taaza paig uThāyā hogā
der-saver to vaise bhī ho jaatī hai
lekin chāñd ko
aur kahīñ se bhī to ho kar aanā thā
kuchh rātoñ se
saat samundar-pār jazīre ke Tiile par baiThī
tanhā ik ma.asūm sī laḌkī
der talak bas us ko taktī rahtī hai
takte takte ro detī hai
jaane kaisā rog lagā baiThī hai
chāñd ab roz hī is bastī se guzrā kartā
us ko taktā rahtā
lekin āḳhir kab tak
us ko aur bhī aage jaanā hotā thā
us kā rasta dekhne vāloñ meñ
vo bachchī bhī to shāmil thī
jo rote rote so jaatī thī
aur vo sab jo chāñdnī-rātoñ ke rasiyā the
un ke chehre bhī jāne-pahchāne the
chāñdnī-rātoñ ke rasiyā
us raat bhī
us kā rasta dekh rahe the
lekin chāñd ko us laḌkī kī bastī bhī to jaanā thā
vo laḌkī jo chāñd ke andar apne hī mahbūb kā chehrā taktī hai
chāñd ko lekin kuchh rātoñ se vo laḌkī ab apnī apnī lagtī hai
der-saver to vaise bhī ho jaatī hai
chandni-raaton ke rasiya
us raat bhi us ki rahen
dekh rahe the
mad-hoshi mein nach rahe the
waqt ki maddham hoti lau se
ThanDe hote jismon ko ab
senk rahe the
chand us raat bhi kafi der se nikla tha
pichhli kuchh raaton se aksar
chand ko der ho jati thi
chand ka rasta takte takte
chand se chehre wali bachchi
rote rote so jati thi
chand ko bhi ehsas tha us ka
der-sawer to waise bhi ho jati hai
koi sabab to hota hoga
lekin apni dhun mein raqsan
logon ne kab socha hoga
aur kisi ne is bare mein socha hoga
to us ne is pagal-pan par
hans kar
kak uDaya hoga
taza paig uThaya hoga
der-sawer to waise bhi ho jati hai
lekin chand ko
aur kahin se bhi to ho kar aana tha
kuchh raaton se
sat samundar-par jazire ke Tile par baiThi
tanha ek masum si laDki
der talak bas us ko takti rahti hai
takte takte ro deti hai
jaane kaisa rog laga baiThi hai
chand ab roz hi is basti se guzra karta
us ko takta rahta
lekin aaKHir kab tak
us ko aur bhi aage jaana hota tha
us ka rasta dekhne walon mein
wo bachchi bhi to shamil thi
jo rote rote so jati thi
aur wo sab jo chandni-raaton ke rasiya the
un ke chehre bhi jaane-pahchane the
chandni-raaton ke rasiya
us raat bhi
us ka rasta dekh rahe the
lekin chand ko us laDki ki basti bhi to jaana tha
wo laDki jo chand ke andar apne hi mahbub ka chehra takti hai
chand ko lekin kuchh raaton se wo laDki ab apni apni lagti hai
der-sawer to waise bhi ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.