des ke bachcho
des ke bachcho
Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
MORE BYSyed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
des ke bachcho pyāre bachcho
sab kī aañkh ke taare bachcho
tum se shaan vatan kī pyāre
tum ho aan vatan kī pyāre
tum hī des ke rakhvāle ho
tum dhartī ke ujiyāle ho
har sū aaj añdherā dekho
buġhz-o-hasad kā Derā dekho
bhaa.ī bhaa.ī se laḌtā hai
haa.e ye kaisā din aaya hai
nafrat kī ik aag lagī hai
dhartī ġham se Dol rahī hai
aao tum bhī diip jalāo
añdhiyāre ko duur bhagāo
giit kuchh aise mil kar gaao
pyaar kī dil meñ jot jalāo
des ke bachcho pyare bachcho
sab ki aankh ke tare bachcho
tum se shan watan ki pyare
tum ho aan watan ki pyare
tum hi des ke rakhwale ho
tum dharti ke ujiyale ho
har su aaj andhera dekho
bughz-o-hasad ka Dera dekho
bhai bhai se laDta hai
hae ye kaisa din aaya hai
nafrat ki ek aag lagi hai
dharti gham se Dol rahi hai
aao tum bhi dip jalao
andhiyare ko dur bhagao
git kuchh aise mil kar gao
pyar ki dil mein jot jalao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.