des premi ki dua
sab se pyārā des hamārā
sab se nyārā des hamārā
aañkh kā taarā des hamārā
dil kā sahārā des hamārā
aao māñgeñ mil ke duā.eñ
des ke achchhe din aa jaa.eñ
maqsad ho ye aaj hamārā
des meñ ho ab raaj hamārā
hukm hamārā baaj hamārā
des bane sartāj hamārā
des rahe ābād hamesha
des rahe āzād hamesha
hindū muslim sikh īsā.ī
ho jaa.eñ sab bhaa.ī bhaa.ī
des ke hoñ dil se shaidā.ī
sab hī chāheñ sab kī bhalā.ī
yā-rab ye masrūr raheñ sab
fikr se ġham se duur raheñ sab
aapas ke sab jhagḌe bhūleñ
jag meñ ḳhuub phaleñ aur phūleñ
ḳhushiyoñ ke jhūloñ meñ jhūleñ
aise uḌeñ ākāsh ko chhū leñ
sab se ūñchā chaḌh ke dikhā.eñ
sab se aage baḌh ke dikhā.eñ
mil kar ye iqrār kareñ sab
dil se vatan ko pyaar kareñ sab
sotoñ ko bedār kareñ sab
qaum kā beḌā paar kareñ sab
jab tak jaan rahe is tan meñ
des prem basā ho man meñ
baat ye merī daatā rakhnā
des kī mere shobhā rakhnā
bol ko is ke baalā rakhnā
ūñchā is kā jhanDā rakhnā
'nayyar' shohrā aam ho is kā
duniyā bhar meñ naam ho is kā
sab se pyara des hamara
sab se nyara des hamara
aankh ka tara des hamara
dil ka sahaara des hamara
aao mangen mil ke duaen
des ke achchhe din aa jaen
maqsad ho ye aaj hamara
des mein ho ab raj hamara
hukm hamara baj hamara
des bane sartaj hamara
des rahe aabaad hamesha
des rahe aazad hamesha
hindu muslim sikh isai
ho jaen sab bhai bhai
des ke hon dil se shaidai
sab hi chahen sab ki bhalai
ya-rab ye masrur rahen sab
fikr se gham se dur rahen sab
aapas ke sab jhagDe bhulen
jag mein KHub phalen aur phulen
KHushiyon ke jhulon mein jhulen
aise uDen aakash ko chhu len
sab se uncha chaDh ke dikhaen
sab se aage baDh ke dikhaen
mil kar ye iqrar karen sab
dil se watan ko pyar karen sab
soton ko bedar karen sab
qaum ka beDa par karen sab
jab tak jaan rahe is tan mein
des prem basa ho man mein
baat ye meri data rakhna
des ki mere shobha rakhna
bol ko is ke baala rakhna
uncha is ka jhanDa rakhna
'nayyar' shohra aam ho is ka
duniya bhar mein nam ho is ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.