yaum-e-azadi
zamīn-e-hind hai aur āsmān-e-āzādī
yaqīn ban gayā ab to gumān-e-āzādī
suno buland huī phir azān-e-āzādī
sar-e-niyāz hai aur āstān-e-āzādī
pahāḌ kaT gayā nūr-e-sahar se raat malī
ḳhudā kā shakar ġhulāmī se to najāt malī
havā-e-aish-o-tarab bādbān ban ke chalī
zamīñ vatan kī nayā āsmān ban ke chalī
nasīm-e-sub.h phir 'arjun' kā baan ban ke chalī
bahār-e-hind tirañgā-nishān ban ke chalī
sipāhī desh kā apne har ik javān banā
bal abaruoñ kā kaḌaktī huī kamān banā
nazar-navāz hai rañg-e-bahār-e-āzādī
har ek zarra hai ā.īna-dār-e-āzādī
hai sar-zamīn-e-vatan jalva-zār-e-āzādī
saroñ ke saath hai ab to vaqār-e-āzādī
kahāñ haiñ aaj vo sham-e-vatan ke parvāne
bane haiñ aaj haqīqat unhīñ ke afsāne
hijāb uTh ga.e ab kas kī parda-dārī hai
ġhazab kī dīda-e-nargis meñ hoshiyārī hai
kalī ne maañg baḌe hasan se sañvārī hai
hasīn phūloñ meñ rañg-e-ḳhud-iḳhtiyārī hai
khaTak kahāñ se ho ab dil meñ koī phāñs bhī hai
ḳhudā kā shakar ki marzī kī ab to saañs bhī hai
zamīn apnī fazā apnī āsmān apnā
hukūmat apnī alam apnā aur nishān apnā
haiñ phuul apne chaman apne bāġhbān apnā
itā.at apnī sar apnā hai āstān apnā
jamāl-e-ka.aba nahīñ yā jamāl-e-dair nahīñ
sab apne hī nazar aate haiñ koī ġhair nahīñ
zamin-e-hind hai aur aasman-e-azadi
yaqin ban gaya ab to guman-e-azadi
suno buland hui phir azan-e-azadi
sar-e-niyaz hai aur aastan-e-azadi
pahaD kaT gaya nur-e-sahar se raat mali
KHuda ka shakar ghulami se to najat mali
hawa-e-aish-o-tarab baadban ban ke chali
zamin watan ki naya aasman ban ke chali
nasim-e-subh phir 'arjun' ka ban ban ke chali
bahaar-e-hind tiranga-nishan ban ke chali
sipahi desh ka apne har ek jawan bana
bal abaruon ka kaDakti hui kaman bana
nazar-nawaz hai rang-e-bahaar-e-azadi
har ek zarra hai aaina-dar-e-azadi
hai sar-zamin-e-watan jalwa-zar-e-azadi
saron ke sath hai ab to waqar-e-azadi
kahan hain aaj wo sham-e-watan ke parwane
bane hain aaj haqiqat unhin ke afsane
hijab uTh gae ab kas ki parda-dari hai
ghazab ki dida-e-nargis mein hoshiyari hai
kali ne mang baDe hasan se sanwari hai
hasin phulon mein rang-e-KHud-iKHtiyari hai
khaTak kahan se ho ab dil mein koi phans bhi hai
KHuda ka shakar ki marzi ki ab to sans bhi hai
zamin apni faza apni aasman apna
hukumat apni alam apna aur nishan apna
hain phul apne chaman apne baghban apna
itaat apni sar apna hai aastan apna
jamal-e-kaba nahin ya jamal-e-dair nahin
sab apne hi nazar aate hain koi ghair nahin
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 403)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
- Edition : 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.