devi aur devta
darshan karne ik devī ke ek pujārī aayā
siis navā.e diyā jalāyā aur charnoñ meñ baiTh gayā
biptā apnī kahī na us ne koī bhī fariyād na kī
takte takte phir devī ko kitne hī yug biit ga.e
darshan karne us devī ke
jo bhī aatā sar ko jhukātā puujā kartā
aur duniyā kī lobh meñ lobhī
duniyā māñgtā rah jaatā
sādhū sant faqīr sabhī ye us se kahte
ai dīvāne kuchh to māñgo tum devī se
vo hañstā aur kahtā un se
paap aur pun ke chakkar meñ mat Daalo mujh ko
jaal haiñ ye sab duniyā ke
duniyā bas ik chhāyā hai
ik asthān pe rahnā use gavārā kab hai
giitā apne paas hī rakh lo
amrit pyāla tum hī chakkho
maiñ dīvāna huuñ devī kā devī merī dīvānī hai
darshan karne ek dewi ke ek pujari aaya
sis nawae diya jalaya aur charnon mein baiTh gaya
bipta apni kahi na us ne koi bhi fariyaad na ki
takte takte phir dewi ko kitne hi yug bit gae
darshan karne us dewi ke
jo bhi aata sar ko jhukata puja karta
aur duniya ki lobh mein lobhi
duniya mangta rah jata
sadhu sant faqir sabhi ye us se kahte
ai diwane kuchh to mango tum dewi se
wo hansta aur kahta un se
pap aur pun ke chakkar mein mat Dalo mujh ko
jal hain ye sab duniya ke
duniya bas ek chhaya hai
ek asthan pe rahna use gawara kab hai
gita apne pas hi rakh lo
amrit pyala tum hi chakkho
main diwana hun dewi ka dewi meri diwani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.