devta
maiñ jāntā huuñ
tumheñ mirī aarzū nahīñ hai
talab mirī aañkh meñ machal ke hī itnī arzāñ huī hai varna
maiñ apne dāman meñ zaat kī kirchiyāñ sameTe
khanaktī muskān bhiik lene
tumhāre raste meñ roz apnā savāl āñkhoñ meñ le ke baiThūñ
ye ḳhū mirī to nahīñ thī jānāñ
maiñ jāntā huuñ tum is qadar devtā to ho hī
ki dil ke hālāt jānte ho
savāl lab pe nā aane paa.e
duā ko harf-e-qubūliyat bhī atā karo tum
tum is qadar bhī ḳhudā nahīñ ho
maiñ apne dāman kā kul asāsa milā ke miTTī meñ haath joḌūñ
aur apne hone kī bhiik māñgūñ
maiñ is qadar aadmī nahīñ huuñ
main jaanta hun
tumhein meri aarzu nahin hai
talab meri aankh mein machal ke hi itni arzan hui hai warna
main apne daman mein zat ki kirchiyan sameTe
khanakti muskan bhik lene
tumhaare raste mein roz apna sawal aankhon mein le ke baiThun
ye KHu meri to nahin thi jaanan
main jaanta hun tum is qadar dewta to ho hi
ki dil ke haalat jaante ho
sawal lab pe na aane pae
dua ko harf-e-qubuliyat bhi ata karo tum
tum is qadar bhi KHuda nahin ho
main apne daman ka kul asasa mila ke miTTi mein hath joDun
aur apne hone ki bhik mangun
main is qadar aadmi nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.