gahre shahroñ meñ rahne se vus.at kā ehsās miTā
lā-mahdūd ḳhalāoñ kī ḳhāmoshī kā
ḳhauf miTā
ab ārām hai
jañgal kā jaadū aur havāoñ kā sañgīt nahīñ to kyā hai
ab ārām ki ab agyān ke paidā-karda haath nahīñ
zālim haath ki jin hāthoñ meñ haath diye
maz.hab ke vīrānoñ meñ maiñ maarā maarā phirtā thā
ab ārām
samundar kī āvāz nahīñ to kyā hai
us bastī kī sab galiyoñ meñ chalne kī āzādī hai
us bastī kī galiyoñ ke nāmoñ meñ nekī aur badī ke naam nahīñ
sīdhe-sāde naam haiñ jaise lālach ġhussa bhuuk mohabbat nafrat
sab galiyoñ meñ chalne kī āzādī hai
shahr nahīñ haiñ chāroñ jānib shor hī shor hai kyā hai
gahre shahroñ meñ rahne se azmat kā ehsās miTā
lambe hamloñ par jaane kā qudrat se Takrāne kā armān miTā
ab ārām hai shahroñ meñ insān miTā
gahre shahron mein rahne se wusat ka ehsas miTa
la-mahdud KHalaon ki KHamoshi ka
KHauf miTa
ab aaram hai
jangal ka jadu aur hawaon ka sangit nahin to kya hai
ab aaram ki ab agyan ke paida-karda hath nahin
zalim hath ki jin hathon mein hath diye
mazhab ke viranon mein main mara mara phirta tha
ab aaram
samundar ki aawaz nahin to kya hai
us basti ki sab galiyon mein chalne ki aazadi hai
us basti ki galiyon ke namon mein neki aur badi ke nam nahin
sidhe-sade nam hain jaise lalach ghussa bhuk mohabbat nafrat
sab galiyon mein chalne ki aazadi hai
shahr nahin hain chaaron jaanib shor hi shor hai kya hai
gahre shahron mein rahne se azmat ka ehsas miTa
lambe hamlon par jaane ka qudrat se Takrane ka arman miTa
ab aaram hai shahron mein insan miTa
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 219)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.