mulaqat
ek chaurāhe pe sab log chale aate haiñ
ek chaurāhe pe milte haiñ guzar jaate haiñ
an-ginat zāviye afkār ke le aate haiñ
in khilaunoñ se vo az.hān ko bahlāte haiñ
apne kartab pe vo iThlāte haiñ itrāte haiñ
aur mauhūm sī taskīn yūñhī paate haiñ
ek chaurāhe pe sab log chale aate haiñ
ek chaurāhe pe milte haiñ guzar jaate haiñ
un meñ ḳhush-kār bhī haiñ un meñ riyā-kār bhī haiñ
un meñ ġham-ḳhvār bhī haiñ un meñ jafā-kār bhī haiñ
ḳhār-hā-e-mehn-o-dard ke tujjār bhī haiñ
aur gul-hā-e-mohabbat ke ḳharīdār bhī haiñ
sho.abda-gar bhī haiñ chālāk bhī ayyār bhī haiñ
aur gardīda-e-mehnat bhī haiñ fankār bhī haiñ
un meñ behosh bhī haiñ un meñ junūñ-kār bhī haiñ
un meñ daanā bhī haiñ biinā bhī haiñ hoshiyār bhī haiñ
ek chaurāhe pe sab log chale aate haiñ
ek chaurāhe pe milte haiñ guzar jaate haiñ
har musāfir ko mulāqāt ye raas aa.ī hai
is mulāqāt se hastī ne jilā paa.ī hai
is mulāqāt ne ik raushnī phailā.ī hai
log baḌhte haiñ to tahzīb baḌhā kartī hai
log laḌte haiñ to tahzīb miTā kartī hai
ek chaurāhe pe sab log chale aate haiñ
ek chaurāhe pe milte haiñ guzar jaate haiñ
ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain
an-ginat zawiye afkar ke le aate hain
in khilaunon se wo azhan ko bahlate hain
apne kartab pe wo iThlate hain itraate hain
aur mauhum si taskin yunhi pate hain
ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain
un mein KHush-kar bhi hain un mein riya-kar bhi hain
un mein gham-KHwar bhi hain un mein jafa-kar bhi hain
KHar-ha-e-mehn-o-dard ke tujjar bhi hain
aur gul-ha-e-mohabbat ke KHaridar bhi hain
shoabda-gar bhi hain chaalak bhi ayyar bhi hain
aur gardida-e-mehnat bhi hain fankar bhi hain
un mein behosh bhi hain un mein junun-kar bhi hain
un mein dana bhi hain bina bhi hain hoshiyar bhi hain
ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain
har musafir ko mulaqat ye ras aai hai
is mulaqat se hasti ne jila pai hai
is mulaqat ne ek raushni phailai hai
log baDhte hain to tahzib baDha karti hai
log laDte hain to tahzib miTa karti hai
ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.