dhaDkan
hamāre aage
paḌā huā hai
ye fāsla jo
vahīñ mohabbat
dhaḌak rahī hai
qadam ke nīche
nazar kī had tak
hai dasht sahrā
azal se phailā
tirī nazar meñ
hai ik kināra
mirī nigah meñ
hai duujī manzil
to biich un ke
nazar keī had tak
jo fāsla hai
usī ke andar
tirī mohabbat
dhaḌak rahī hai
mirī mohabbat
dhaḌak rahī hai
hamare aage
paDa hua hai
ye fasla jo
wahin mohabbat
dhaDak rahi hai
qadam ke niche
nazar ki had tak
hai dasht sahra
azal se phaila
teri nazar mein
hai ek kinara
meri nigah mein
hai duji manzil
to bich un ke
nazar kei had tak
jo fasla hai
usi ke andar
teri mohabbat
dhaDak rahi hai
meri mohabbat
dhaDak rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.