dhaDkanen
Interesting Fact
(Naya Daur, Volume: 61-62, November-December, 1973)
(1)
mausam-e-sarmā kī ThiThurātī huī shām-e-hazīñ
choTiyoñ par barf kī ik laash
saare peḌ nange TunD-munD
sahn meñ vo charmarāte bhūre pattoñ kā kafan
ek sannāTā
vo ik Tahnī taḌaḳh kar gir paḌī
ik saañs TuuTā
(2)
maiñ ne kal hī apne būḌhe baap ke ThanDe badan ko
ġhusl de ke apne hāthoñ
kaalī dhartī ke dahāne meñ utārā
ki yahī hai rasm
maiñ zinda bhī pāmāl-e-rusūm
zindagī meñ vo chaTaktī raushnī kā ek mīnār-e-buland
us kī kirnoñ ne hazāroñ qumqume raushan kiye
aur ye rasm-e-zamāna
umr-bhar jo dūsroñ ko raushnī detā rahā
ik añdherī qabr is ke vāste
(3)
aane vaale mausamoñ meñ saiñkaḌoñ hī Tahniyāñ phūTeñgī
lekin jis jagah us peḌ se ye shāḳh TuuTī
vo nishāñ ik dā.era ban kar rahegā
maiñ ne jin hāthoñ se apne baap ke ThanDe badan ko
kaalī dhartī ke dahāne meñ utārā
us kī poroñ se vo būḌhī dhaḌkaneñ qirtās par bahtī raheñgī
(1)
mausam-e-sarma ki ThiThuraati hui sham-e-hazin
choTiyon par barf ki ek lash
sare peD nange TunD-munD
sahn mein wo charmaraate bhure patton ka kafan
ek sannaTa
wo ek Tahni taDaKH kar gir paDi
ek sans TuTa
(2)
main ne kal hi apne buDhe bap ke ThanDe badan ko
ghusl de ke apne hathon
kali dharti ke dahane mein utara
ki yahi hai rasm
main zinda bhi pamal-e-rusum
zindagi mein wo chaTakti raushni ka ek minar-e-buland
us ki kirnon ne hazaron qumqume raushan kiye
aur ye rasm-e-zamana
umr-bhar jo dusron ko raushni deta raha
ek andheri qabr is ke waste
(3)
aane wale mausamon mein sainkaDon hi Tahniyan phuTengi
lekin jis jagah us peD se ye shaKH TuTi
wo nishan ek daera ban kar rahega
main ne jin hathon se apne bap ke ThanDe badan ko
kali dharti ke dahane mein utara
us ki poron se wo buDhi dhaDkanen qirtas par bahti rahengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.