Dhalti raat
kaun jaane ki abhī raat hai kitnī baaqī
umr-e-hangāma-e-zulmāt hai kitnī baaqī
abhī har samt dhuāñ-dhār ghaTā chhā.ī hai
paḌ rahī hai abhī ākāsh se tārīk phuvār
abhī zindān-e-ḳhamoshī ke siyah hujre meñ
sun rahā huuñ kisī nāgin kī musalsal phunkār
ḳhauf se dubke hue baiThe haiñ sad.hā panchhī
tah-ba-tah shāḳhoñ kī tārīk guphāoñ meñ abhī
saañs lene pe haiñ majbūr sulagte hue raag
ik fusūñ-kār ḳhunuk ḳhvāb kī chhāñv meñ abhī
ālam-e-yās meñ haiñ peḌ abhī mahv-e-duā
jānib-e-charḳh uThā.e hue apnī bāheñ
kaun jaane ki abhi raat hai kitni baqi
umr-e-hangama-e-zulmat hai kitni baqi
abhi har samt dhuan-dhaar ghaTa chhai hai
paD rahi hai abhi aakash se tarik phuwar
abhi zindan-e-KHamoshi ke siyah hujre mein
sun raha hun kisi nagin ki musalsal phunkar
KHauf se dubke hue baiThe hain sadha panchhi
tah-ba-tah shaKHon ki tarik guphaon mein abhi
sans lene pe hain majbur sulagte hue rag
ek fusun-kar KHunuk KHwab ki chhanw mein abhi
aalam-e-yas mein hain peD abhi mahw-e-dua
jaanib-e-charKH uThae hue apni bahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.