dhanak ki bund
merā aañsū mujhe vāpas de do
ab maiñ aañsū na bahā.ūñgā kabhī
maiñ ye motī na luTā.ūñgā kabhī
ye bhī dekho ki haiñ is buuñd meñ kyā rañg chhupe
sochtā huuñ ki dhanak hai ye bhī
is meñ hai ḳhūn-e-jigar kī surḳhī
hai mire chehra-e-ġhamnāk kī zardī us meñ
dard kī nīlgūñ lahroñ kī tavānā.ī hai
dil ke tālāb pe lahrātī huī
gulgulī kaa.ī kī sabzī bhī to hai
us meñ nāranjī shagūfoñ kī udāsī bhī to hai
uude bādal kī laraztī huī parchhā.īñ bhī hai
mere māhaul kī tārīk safedī bhī to hai
merā aañsū mujhe vāpas de do
maiñ ye motī na luTā.ūñgā kabhī
mera aansu mujhe wapas de do
ab main aansu na bahaunga kabhi
main ye moti na luTaunga kabhi
ye bhi dekho ki hain is bund mein kya rang chhupe
sochta hun ki dhanak hai ye bhi
is mein hai KHun-e-jigar ki surKHi
hai mere chehra-e-ghamnak ki zardi us mein
dard ki nilgun lahron ki tawanai hai
dil ke talab pe lahraati hui
gulguli kai ki sabzi bhi to hai
us mein naranji shagufon ki udasi bhi to hai
ude baadal ki larazti hui parchhain bhi hai
mere mahaul ki tarik safedi bhi to hai
mera aansu mujhe wapas de do
main ye moti na luTaunga kabhi
- Book : siip (Magzin) (Pg. 166)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.