dhanak
phir aaj mere tasavvur meñ motiyā jaagā
phir aaj sabz parī utrī chhamchhamātī huī
phir aaj Dāliyāñ phūloñ kī raqs karne lagīñ
phir aaj ḳhushbūoñ se bām-o-dar mahakne lage
phir aaj phail gayā rūh-o-dil meñ sail-e-jamāl
asar na dard kā baaqī rahā na ġham kā ḳhayāl
phir uTThā chiḌiyoñ kā ek jhunD chachahātā huā
havā hare bhare khetoñ se uTThī gaatī huī
maiñ dekhne lagī sunñe lagī nikharne lagī
chahakne lag ga.ī sajne lagī sañvarne lagī
vo merā gaañv kā ghar laal laal khapre kā
phir us kī oltī se ThanDī dhaar girne lagī
vo ThanDī dhaar merī ruuh meñ samāne lagī
bhigone lag ga.ī mujh ko
maiñ khilkhilāne lagī
phir aaj mere tasawwur mein motiya jaga
phir aaj sabz pari utri chhamchhamati hui
phir aaj Daliyan phulon ki raqs karne lagin
phir aaj KHushbuon se baam-o-dar mahakne lage
phir aaj phail gaya ruh-o-dil mein sail-e-jamal
asar na dard ka baqi raha na gham ka KHayal
phir uTTha chiDiyon ka ek jhunD chachahata hua
hawa hare bhare kheton se uTThi gati hui
main dekhne lagi sunne lagi nikharne lagi
chahakne lag gai sajne lagi sanwarne lagi
wo mera ganw ka ghar lal lal khapre ka
phir us ki olti se ThanDi dhaar girne lagi
wo ThanDi dhaar meri ruh mein samane lagi
bhigone lag gai mujh ko
main khilkhilane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.