dhanak-rang
pahāḌī ke us paar koī dhanak hai nahīñ hai
dhanak ke sire par koī jādū-nagrī paristāñ ḳhazāna mirā muntazir hai
nahīñ hai
mujhe koī dhokā nahīñ hai
samundar ke us paar se aane vaalī havāoñ meñ koī sandesa nahīñ hai
agar kuchh nahīñ hai to saarī tag-o-dau ye imroz-o-fardā ke sab silsile kis liye haiñ
ufuq se pare marġh-zāroñ kī āḳhir hadoñ tak pahuñchne kī ḳhvāhish
sarāboñ ke dhuñdle hayūloñ kā pīchhā
ye sab kis liye hai
kisī ḳhvāb kī koī sūrat nahīñ hai
ḳhushī koī tohfa nahīñ jo christmas kī shab koī chupke se de jā.egā
maiñ elis nahīñ huuñ alif-lailvī shāhzādī nahīñ huuñ
maiñ 'azrā' huuñ
aur mere aur zindagī ke ta.alluq se jo bhī hai duniyā meñ vo asliyat hai
mirī shā.irī giit sañgīt
sab dil ke mausam
chāhne chāhe jaane kī ḳhvāhish meñ rishtoñ kī sangīniyāñ
kuchh rifāqat ke anmol motī
mohabbat kī shabnam meñ Duubī huī adh-khilī zard kaliyāñ
buzurgoñ se paa.ī huī sab muqaddas duā.eñ
zindagānī kī sab dhuup chhāñv
ḳhazāna hai merā
dhanak-rañg mujh meñ samā.e hue haiñ
pahaDi ke us par koi dhanak hai nahin hai
dhanak ke sire par koi jadu-nagri paristan KHazana mera muntazir hai
nahin hai
mujhe koi dhoka nahin hai
samundar ke us par se aane wali hawaon mein koi sandesa nahin hai
agar kuchh nahin hai to sari tag-o-dau ye imroz-o-farda ke sab silsile kis liye hain
ufuq se pare margh-zaron ki aaKHir hadon tak pahunchne ki KHwahish
sarabon ke dhundle hayulon ka pichha
ye sab kis liye hai
kisi KHwab ki koi surat nahin hai
KHushi koi tohfa nahin jo christmas ki shab koi chupke se de jaega
main elis nahin hun alif-lailwi shahzadi nahin hun
main 'azra' hun
aur mere aur zindagi ke talluq se jo bhi hai duniya mein wo asliyat hai
meri shairi git sangit
sab dil ke mausam
chahne chahe jaane ki KHwahish mein rishton ki sanginiyan
kuchh rifaqat ke anmol moti
mohabbat ki shabnam mein Dubi hui adh-khili zard kaliyan
buzurgon se pai hui sab muqaddas duaen
zindagani ki sab dhup chhanw
KHazana hai mera
dhanak-rang mujh mein samae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.