dharti ka bojh
ek chahal-qadmī ke liye galī banī
samundar ke paas ye phūloñ kī kalī banī
meñ bhī bhūle se yahāñ aa jaatā huuñ
merī umr chalne-phirne ghūmne kī nahīñ hai
aurteñ bachche aur do ik būḌhe bhī aate haiñ
maiñ yūñhī kachhve kī chaal kī tarah
āhista āhista aayā thā
ik jhāḌī ke pīchhe do saa.e ham-āġhosh the
ek ne bā-āvāz-e-buland kahā:
kyā tum ne is būḌhe ko dekhā?
hañsne kī āvāz aa.ī
ye būḌhā dhartī kā bojh hai
maiñ ne sunā magar chup-chāp chaltā gayā
us ne shāyad sahī kahā ye umr chalne-phirne kī nahīñ hai
magar maiñ kyā karūñ doctor ne mujhe sau qadam chalne ko kahā hai
maiñ shurūa se zindagī meñ dhartī kā bojh thā
maiñ ne javānī kirm-e-kitābī ban ke guzārī hai
maiñ ne rātoñ ko jaag jaag kar paḌhā hai
zindagī meñ ilm kī justujū sab kuchh nahīñ hai
ye mujhe tab ma.alūm huā jab maiñ dhartī kā bojh ban gayā thā
ek chahal-qadmi ke liye gali bani
samundar ke pas ye phulon ki kali bani
mein bhi bhule se yahan aa jata hun
meri umr chalne-phirne ghumne ki nahin hai
aurten bachche aur do ek buDhe bhi aate hain
main yunhi kachhwe ki chaal ki tarah
aahista aahista aaya tha
ek jhaDi ke pichhe do sae ham-aghosh the
ek ne ba-awaz-e-buland kaha:
kya tum ne is buDhe ko dekha?
hansne ki aawaz aai
ye buDha dharti ka bojh hai
main ne suna magar chup-chap chalta gaya
us ne shayad sahi kaha ye umr chalne-phirne ki nahin hai
magar main kya karun doctor ne mujhe sau qadam chalne ko kaha hai
main shurua se zindagi mein dharti ka bojh tha
main ne jawani kirm-e-kitabi ban ke guzari hai
main ne raaton ko jag jag kar paDha hai
zindagi mein ilm ki justuju sab kuchh nahin hai
ye mujhe tab malum hua jab main dharti ka bojh ban gaya tha
- Book : shab khuun (rekhta website)(291) (Pg. 13)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.