dharti ka uphaar mila jab
ḳhud meñ utar kar maiñ royā thā
bāhar manzar
phuuT phuuT kar itnā royā
har shai Duub ga.ī thī
aur maiñ us pal
apne tan kī kashtī khetā
saat samundar paar gayā thā
sūraj tāroñ aur ambar ne
gale lagā kar
dhartī kā uphār diyā thā
sab kuchh mujh par vaar diyā thā
KHud mein utar kar main roya tha
bahar manzar
phuT phuT kar itna roya
har shai Dub gai thi
aur main us pal
apne tan ki kashti kheta
sat samundar par gaya tha
suraj taron aur ambar ne
gale laga kar
dharti ka uphaar diya tha
sab kuchh mujh par war diya tha
- Book : Zamin Lapata Rahi (Pg. 29)
- Author : Hanif Tareen
- Publication : Libarty Art Press, Pataudi House, Darya Ganj, (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.