dharti ki sulagti chhati se bechain sharare puchhte hain
dharti ki sulagti chhati se bechain sharare puchhte hain
Sahir Ludhianvi
MORE BYSahir Ludhianvi
dhartī kī sulagtī chhātī se bechain sharāre pūchhte haiñ
tum log jinheñ apnā na sake vo ḳhuun ke dhāre pūchhte haiñ
saḌkoñ kī zabāñ chillātī hai sāgar ke kināre pūchhte haiñ
ye kis kā lahū hai kaun marā ai rahbar-e-mulk-o-qaum batā
ye jalte hue ghar kis ke haiñ ye kaTte hue tan kis ke haiñ
taqsīm ke andar tūfāñ meñ luTte hue gulshan kis ke haiñ
bad-baḳht fazā.eñ kis kī haiñ barbād nasheman kis ke haiñ
kuchh ham bhī suneñ ham ko bhī sunā
kis kaam ke haiñ ye dīn-dharm jo sharm kā dāman chaak kareñ
kis tarah ke haiñ ye desh-bhagat jo baste gharoñ ko ḳhaak kareñ
ye rūheñ kaisī rūheñ haiñ jo dhartī ko nāpāk kareñ
āñkheñ to uThā nazreñ to milā
jis raam ke naam pe ḳhuun bahe us raam kī izzat kyā hogī
jis diin ke hāthoñ laaj luTe is diin kī qīmat kyā hogī
insān kī is zillat se pare shaitān kī zillat kyā hogī
ye ved haTā qur.ān uThā
ye kis kā kaho hai kaun mirā
ai rahbar-e-mulk-o-qaum batā
dharti ki sulagti chhati se bechain sharare puchhte hain
tum log jinhen apna na sake wo KHun ke dhaare puchhte hain
saDkon ki zaban chillati hai sagar ke kinare puchhte hain
ye kis ka lahu hai kaun mara ai rahbar-e-mulk-o-qaum bata
ye jalte hue ghar kis ke hain ye kaTte hue tan kis ke hain
taqsim ke andar tufan mein luTte hue gulshan kis ke hain
bad-baKHt fazaen kis ki hain barbaad nasheman kis ke hain
kuchh hum bhi sunen hum ko bhi suna
kis kaam ke hain ye din-dharm jo sharm ka daman chaak karen
kis tarah ke hain ye desh-bhagat jo baste gharon ko KHak karen
ye ruhen kaisi ruhen hain jo dharti ko napak karen
aankhen to uTha nazren to mila
jis ram ke nam pe KHun bahe us ram ki izzat kya hogi
jis din ke hathon laj luTe is din ki qimat kya hogi
insan ki is zillat se pare shaitan ki zillat kya hogi
ye wed haTa quran uTha
ye kis ka kaho hai kaun mera
ai rahbar-e-mulk-o-qaum bata
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 467)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.